Sunday, May 11, 2025
HomeTrending NewsBaghair ijazat Hajj maqamat mein dakhla par 10 hazaar Riyal jurmana

Baghair ijazat Hajj maqamat mein dakhla par 10 hazaar Riyal jurmana

Riyadh: Baghair ijazat Hajj maqamat mein dakhla par 10 hazaar Riyal jurmana hoga. Saudi wizarat dakhla ney khabardaar kiya hai ke 19 July 28 Zil Qahada se 2 August 12 Zil-Haja ke darmain jo bhi baghair Hajj ijazat naame ke baghair Mina Arafat aur Muzdalifah jaye ga is par 10 hazaar Riyal jurmana hoga.

Bayan mein kaha gaya ke ek se ziyada khilaaf warzi par jurmana dugna kardiya jaye ga. Saudi khabar-rasan idaray SPA ke mutabiq wizarat dakhela ke ohdedar ne kaha ke Shahi farmaan ke bamujab Novel Coronavirus se nimatnay ke liye ahteyati tadabeer o hifazati iqdamaat ke tehat bulaa ijazat Hajj maqamat par jaany waloun par jurmane ka faisla kiya gaya hai.

Shahi hidayat ke mutabiq is saal Hajj mausam ko Novel Coronavirus ki waba se bachanay ke liye sakht hifazati iqdamaat kiye jarahay hain. Wizarat dakhla ne tamam Saudi shehrioun aur muqeem ghair mulkioun se Appeal ki hai ke wo Hajj hidayat ki pabandi karen.

Wizarat dakhla ne ye bhi hidayat ki ke security ohdedar Mina, Arafat aur Mozdalifa jane walay tamam raastoon aur shaahrahoun par duty den ge. Aisay kisi bhi shakhs ko jis ke paas hajj ka ijazat nama nahi hoga usay 28 Zil Qahada se 12 Zil Hajja 1441 h ke darmain Hajj maqamat par jane se roka jaye ga aur pabandi ki khilaaf warzi par qanoni karwai ki jaye gi.