Tuesday, May 7, 2024
HomeSliderBadhti omar aur kamzor hoti nazar, Kohli ka ab asal masla

Badhti omar aur kamzor hoti nazar, Kohli ka ab asal masla

New Delhi: Hindustani Cricket Team ke Captain Virat Kohli New Zealand ke dora intehahi nakaam rahay aur wo T20, One Day aur Test Series mein majmoi tor par 12 Inning mein sirf ek Century Score kar paye jabkay Test ki charoun Inning mein wo sirf 38 Runs hi bana paye hain aur is tashweesh-naak pehlu ka tajzia karte huve Hindustan ke sabiq Captain Kapil Dev ne kaha ke Kohli ko ab badhti omar aur kamzor hoti nazar se khud ko hum aahang karne ki zaroorat hai.

Hindustani Cricket Team ke sabiq Captain Kapil Dev samajte hain ke Hindustani Captain Virat Kohli jo kay dora New Zealand par Runs bananay ke liye sakht jad-o-jehad karte rahay inhen is jad-o-jehad se baher anay ke liye ziyada Practice ki zaroorat hai. Kapil Dec ne kaha ke omar ka asar bhi muzahiroun par padta hai. 31 sala Kohli New Zealand ke khilaaf munaqidah 2 Test muqabloun ki series mein 4 Inning mein sirf 38 Runs Score kar paye aur is douran Runs bananay ki un ki osat 9.50 rahi. Alawa azeen mehdood Overs ki Cricket mein bhi wo sirf ek nisf Century ki badolat 180 Runs Score kar paye hain.

Kapil Dev ne ABP News se ezharkhyal karte huve kaha ke har baday khiladi ke career mein aisa marhala aata hai aur Kohli ke sath ye omar ka masla hai kyunkay 30 baras ki omar mein pounchanay ke baad aankhoun ki basarat mein tabdeeli aati hai jis ke baad 6 mahinay ka waqfa aisa guzarta hai jis ke baad khiladi ko is se hum ahangi hojati hai. Unhoun ne mazeed kaha ke mein samjhta hon ke Kohli ko apni basarat se khud aahang karne ki zaroorat hai. Jab baday khiladioun ke career mein wo LBW ya Bold hona shuru hotay hain to inhen zaroorat is baat ki hoti hai ke wo ziyada Practice kere taakay wo is masla par qaboo pasakien.

Hindustan ko pehli martaba aalmi Champion banwane walay sabiq Captain Kapil Dev ne kaha ke kayi aisay Batsman jin mein Virender Sehwag, Rahul Dravid aur Cricket ke Legend Viva Richard ne bhi is terhan ke mushkil halaat ka saamna kiya hai. Kohli ke sath bhi ye masla darpaish hochuka hai kyunkay 18 se 24 saal ki omar mein basarat apni urooj par hoti hai jis ke baad basarat mein kami aana shuru hoti hai aur ye khiladi par munhasir hota hai ke wo apni basarat mein honay wali kami se kis terhan khud ko hum aahang karta hai. Kapil Dev samajte hain ke Kohli ko apni taknik mein tabdeeli aur ziyada Practice ki zaroorat hai. –YTN STAFF