Saturday, April 27, 2024
HomeOthersTechnologyBada sayarchah 6 June ko zameen ke madaar se guzrayga

Bada sayarchah 6 June ko zameen ke madaar se guzrayga

Washington: Americi khalayi tahaqeeq ke idaray NASA ne kaha hai ke ek bada sayarchah 6 June ko zameen ke madaar se guzrayga. NASA ki report ke mutabiq is sayarche ki lambai 570 meter aur chodai 250 meter hai. Is ka matlab hai ke is ka hajam New York ki Empire state building se bhi kahin ziyada hai.

NASA ke mahireen ke mutabiq nizaam e shamsi mein muallaq chattaan numa is seyarche ke zameen se takaraane ka koi imkaan nahi hai. Taham unhoun ne kaha hai ke is ki naqal o harkat par mukammal nazar rakhi jarahi hai. Is waqt ye seyarchah 11 hazaar 200 mil fi ghanta ki raftaar se safar kar raha hai aur itwaar ko hindustani waqt ke mutabiq subah 4 baj kar 50 minute par zameen ke madaar se guzrayga. –YTN STAFF