Friday, May 17, 2024
HomeSliderBachpan ki tasweer ki wajah se nojawan 20 saal baad khandan se...

Bachpan ki tasweer ki wajah se nojawan 20 saal baad khandan se mil gaya

Cairo: Misri nojawan nay 20 saal baad apne Bachpan ki tasweer se haqeeqi ahal khanah ko talaash karliya. Nojawan nay Internet par apne bachpan ki tasweer ke sath apni kahani shaya ki jisay dekh kar is ke haqeeqi ahal khanah nay rabita karliya. Website ke mutabiq Misri nojawan Ihab Ahmed nay channel one ke maroof programme se Telephone rabita karkay kaha ke is ki parwarish ek aisay khandan mein huvi hai jo usay kisi panah gaah se le kar aaya tha. Bada huwa aur ladakpan ke daur se guzra to sarparast khandan aur is ke darmain tagrar hugayi.

Jis se ye raaz munkashif huwa ke wo is khandan ka beta nahi balkay usay kisi panah gaah se laya gaya tha. Misri nojawan nay kaha ke sarparast khandan ke sath ikhtilafat badhatay chalay gaye. Majboron apne haqeeqi khandan ki talaash ka programme banaya. Khush qismati se mere paas apne bachpan ki kuch tasaveer mehfooz theen. Jinhein Social Media par shaya karkay apni dukh bhari kahani bayan ki. Bohat saaray logon nay raabtey kiye aur kaha ke tum hamaray yahan aajao meri zid thi ke ab mein sirf apne haqeeqi khandan ke paas jaoon ga.

Ahmed nay kaha hai ke jab ek ladki nay rabita karkay pedaishi alamaat se aagah kiya aur bataya ke tumharay dayen aur baen haath mein ye alamat hai aur wo ye keh kar zaro qataar ronay lagi to mere dil nay kaha ke ye meri sach moch behan hai. Rabita karne wali meri behan nay bataya ke mera naam Ihab nahi Ahmed hai. Misri nojawan nay kaha hai is nay DNA test karwaya hai. Report ka intezaar hai. Nateeja anay par apne haqeeqi khandan ke paas jaun ga. Judai ke lamhay barson mein tabdeel ho chukay hain.