Hyderabad : Judwan shehroun Hyderabad aur Secunderabad mein waqatan fa waqtan bachoun ko aghwa karne karne ki khabrein aur afwahoun ka bazaar garam rehta hai lekin ab ek taaza waqiya ke baad shehar hyderabad ke awam aur khaas kar chhootey bachoun ke walidain ko chowkanna rehne ki zaroorat mehsoos horahee hai, kyunkay Balapur mein ek aisi factory ka inkishaaf hua hai jahan chodhiyan (Bangles) bananay ka kaam to kiya jata hai lekin yahan chotey bachoun ko subah 6 bajey taa raat 11 bajey tak musalsal kaam karne par majboor kiya jata hai aur is douran inhen Aram ki sahoolat bhi muhayya nahi ki jati. is ke alawa kaam ki takmeel ke baad un bachoun ko is factory mein khaid kar diya jata hai. un bachoun ko na azadana bahar ghoomnay ki ijazat hai aur nah hi inhen behtar khana faraham kiya jata hai balkay Bandiyoun par dastyab honay wala khana hi inhen diya jata hai.
Bachoun ko qaid karte hue unse mazdoori karwane wali ek gang pakdi gayi hai, jis ke baad Bihar se laaye gaye 54 bachoun ko unke Chongal se riha karwalya gaya hai. Balapur police ne karwai karte hue bachoun ki doosri riyasatoun se yahan lakar mazdoor aur ghulam banaye janay walay racket ko be naqaab kiya hai aur saat afraad ko girftar kiya hai. Balapur police ne jin afraad ko hirasat mein liya hai un ki shanakht Mohammad aslam, Sheikh Mohammad Riyaz , Mohammad hussain, Sheikh habib, Mohammad muslim, Mohammad asghar aur Mohammad Naseem akram ke tor par ki gayi hai. Mohammad aslam apne deegar 4 sathiyon feroz, aalam anwar, noor aur intikhab ke sath Balapur mein ek chodhiyan bananay ki factory chalata hai jabkay ke is gang ke deegar afraad shumali riyasatoun se ghareeb khandan ke bachoun ko hyderabad laatay hain taakay inhen kaam faraham kiya jasakay lekin yahan laa kar un masoom bachoun se janwaron ki tarhan kaam liya jata hai, jinhein tulu aftaab se qabal hi kaam par laga diya jata hai aur raat ke ek hissa guzar janay ke bawajood unhein kaam se chutti nahi millti.
Balapur se un 54 bachoun ko Bazyab karne ke alawa 1st July se mukhtalif maqamat par ki janay wali karwaiyon mein police ne ab tak 176 bachoun ko azad karwaya hai. is waqiya ne hyderabad mein ek qisam ka khadsha paeda kardiya hai ke jab bihar aur deegar shumali riyasatoun se bachoun ko lakar yahan mazdoori karwai ja sakti hai to kiya hyderabad se masoom bachoun ka aghwa ya inhen bhula phusla kar deegar riyasatoun mein muntaqil nahi kiya ja sakta aur kiya inhen deegar riyasatoun mein le jaakar mazdoori nahi karwai ja sakti? un sawalaat ka jawab haan mein hoga to behtar hai ke apne lakht-e-jigar ko kisi museebat mein girftar honay se qabal hi ahteyati tadabeer akhitar karen aur khud bachoun ko bhi is tarhan ke khatraat se aagah karen taakay woh kisi dhoka baz ke chungal mein nah phansay. –YTN STAFF