Friday, May 10, 2024
HomeLatest NewsBachoun ke liye Afghanistan khatarnaak mulk, Rozaanah 9 bachay halaak honay ka...

Bachoun ke liye Afghanistan khatarnaak mulk, Rozaanah 9 bachay halaak honay ka inkishaaf

Kabul: Aqwam mutahidda ke aalmi idaara baraye Children Emergency Fund ( UNICEF ) ne inkishaaf kiya hai ke rawan saal Afghanistan mein yomiya ausotan 9 bachay halaak ya mazoor hue. Mazkoorah adaad o shumaar ke mutabiq UNICEF ne Afghanistan ko duniya ka sab se ziyada jaan lewa jangi hissa qarar diya gaya. Is hawalay se UNICEF ki executive director Henrietta H. Fore ne kaha ke yahan tak ke Afghanistan ke sangeen miyaar ke mutabiq 2019 khaas tor par bachoun ke liye mohlik raha hai. Unhoun ne kaha ke bachay, Un ke kunbe aur baradri rozana tanazeaat ke bhayanak nataij se dochar hotay hain.

Report mein jari kardah ek bayan mein Henrietta H. Fore ne kaha ke mushkil halaat ke bawajood Afghan bachay baday honay, School jaane, Mahaarat seekhnay aur apna mustakbil bananay ke liye be qarar hain. Unhoun ne mazeed kaha ke hamein un ki ghair mamooli himmat ko takwiyat dainay ke liye aur bohat kuch karna chahiye jabkay ye zaroori bhi hai. Duniya ke sab se jaan lewa tanaza mein bachoun ki hifazat ke unwan se jari report mein Afghanistan mein tamam fariqain par is jang ko takreeban 40 baras se ghaseetnay aur is ke nateejay mein bachoun ko bachanay ke apne farz mein nakami ka ilzaam aed kiya gaya.

Is report mein kaha gaya ke is waqt Afghanistan duniya ke bad tareen halakat khaiz mulk ke tor par samnay aaya hai aur 2009 aur 2018 ke darmain lag bhag 6 hazaar 500 bachay jaan bahaq aur kam o besh 15 hazaar zakhmi ( mazoor ) ho chukay hain. Mazkoorah report mein ye bhi bataya gaya ke saal 2018 ke baad se Afghanistan mein bachoun ki amwaat ki sharah mein 11 feesad izafah huva. Report mein bachoun ki amwaat ke asbaab mein khudkush bomb hamloun mein izafah aur hukoomat aur is ke mukhalif askriat pasandoun ke mabain zameeni jhadpoun ka zikar kiya gaya.

Ilawa azeen UNICEF ne Afghan jang ke tamam fariqain par zor diya gaya ke wo bain ul aqwami aur insani haqooq ke qanoon ke tehat apni zimma daryoun ko nibhaaye jis mein bachoun ki hifazat, Schooloun aur sahet ke marakaz ko nishana na bananay aur insani imdaad tak rasai ki ijazat ho. Is report mein bataya gaya ke tanazeaat se wabsta tashadud hi sirf Afghanistan mein bachoun ke liye khatrah nahi hai balkay Afghanistan mein parwan chadhne walay bachoun ko deegar challenges ka saamna bhi karna padta hai jis mein shadeed ghizai qillat bhi shaamil hai aur is ki wajah se 6 lakh nojawan mutasir hain

Is ke ilawa report mein bachoun ki shadi ko bhi ek bada masla qarar diya gaya. Mazkoorah report mein ye bhi kaha gaya ke 3 mein se ek ladki ki shadi 18 saal ki omar se pehlay hi kardi jati hai aur wo mansoobah bandi ke baghair hi zichgi ki taraf jati hain jabkay bazabta taleem tak rasai nah honay se takreeban 37 lakh school ki omar walay bachay mutasir hor hai hain. Report ke mutabiq UNICEF ladkiyoun ko ghairat ke naam par qatal, Gharelo zayad-ti aur jinsi tashadud ke khatray se bachanay ke liye Afghan hakkaam aur muqami baradri ke sath bhi kaam kar rahi hai. Ilawa azeen shadeed ghizai qillat ke khatmay ke liye UNICEF 2 lakh 77 hazaar mutasirah bachoun ko ilaaj faraham karti hai. Ye agency muqami hakkaam ke sath milkar saal 2018 mein shadeed khushk saali se mutasirah 28 lakh afraad ke liye pani ki farahmi ka bhi kaam kar rahi.

Is ke ilawa qeht zada ilaaqoun mein pani ki farahmi ke liye UNICEF shamsi tawanai se chalne walay water system ka istemaal kar rahi hai. Taham report mein is amar par bhi behas ki gayi ke agar ziyada se ziyada bachoun tak pohanchna hai to mazkoorah programoun ko teezi se badhaaya jana chahiye. Isi terhan ye bhi kaha gaya ke UNICEF mazeed 3 lakh shadeed ghizaiyat ka shikaar bachoun ko sahoolat faraham karne ki khawahish mand hai. Report mein bataya gaya ke 36 feesad aisi Afghan abadi bhi hai jisay aisay peenay ke saaf pani tak rasai haasil nahi hai jo bairooni aloodgi se mehfooz ho.-YTN STAFF