Sunday, April 20, 2025
HomeJurmBache ko chori karne ke ilzaam mein hujhum ne 1 shakhs ko...

Bache ko chori karne ke ilzaam mein hujhum ne 1 shakhs ko peet peet kar halaak kar diya

Lucknow : Gaow kashi ke naam par hujumi tashadud aur qatal ke baad, in dinoun Uttar pradesh mein bachoun ko chori karne ki afwahein hujumi tashadud ke waqeat ko hawa de rahi hain. jahan pichlle teen dinon mein is tarhan ke bees se ziyada waqeat samnay aaye hain.

Ek taaza waqea mein, maghribi Uttar pradesh ke sambhal mein bachay ko chori karne ki koshish ki afwaah ke baad hujhoom ne 1 shakhs ko peet peet kar halaak kar diya aur asaas ke bhai ko zakhmi kiya gaya.

Isi tarhan, qaumi dar-ul-hakoomat se mut-tasil Ghaziabad mein hue ek aur waqea mein, ek buzurug khatoon ko bacha chor honay ke ilzaam mein peeta gaya. jabkay woh khatoon apne potay ke sath bazaar gayi thi.

Sambhal ke waqea mein, do bhai apne beemaar bhtaije ko dr ke paas lejarahay they, tab kuch log unke paas aaye aur unpar bachay ko aghwa karne ka ilzaam lagaya aur donoun ko ghasetetay hue khet mein legaye aur inhen peetnay lagey.

Woh hujhoom se apne be-gunah honay ki iltija karte rahay lekin laathi aur lohay ki churiyoun se woh inhen pitte rahay.

Ittila milnay par police mauqa par pohanchi aur bhaiyon ko bacha liya, jin mein se ek ko hospital le jaya gaya jahan woh murda qarar diya gaya. jabkay dosra buri tarhan zakhmi hogaya. un dono ashkhaas par hamla karne ke ilzaam mein police ne paanch afraad ko girftar kar liya hai.

Maghribi Uttar pradesh ke dehi ilaaqon mein, log bachon ki chori ki afwahon par taizi se yaqeen kar letay hain, aur police ke mutabiq, guzashta sirf ek mahinay mein buland shehar zila se aisay 12 waqeat samnay aaye hain, jis mein hujhoom ne logon per bache chori karne ka ilzaam laga kar hamla kiya hai.

Uttar pradesh police ka kehna hai ke woh tamam waqeat par action le rahay hain, taakay afwahon ko roka ja sakay, aur unki wajah se logon par hamla nah kiya jaye. bachon ki chori ki afwahon ki wajah se social media khas tor par whatsapp par share kiye jarahay hain, jiski wajah se be gunaaho par hamlay horahay hain.

Police ka kehna hai ke is tarhan ke waqeat se bachney ke liye gasht mein izafah kiya gaya hai aur social media par bhi aisi afwahon ki rok thaam ke liye sakht nazar rakhi ja rahi hai. –YTN STAFF