Thursday, April 25, 2024
HomeOthersHealthBachay Coronavirus ke phelao ke zimma daar: Report

Bachay Coronavirus ke phelao ke zimma daar: Report

Hyderabad: Coronavirus ke phelao ke zimma daar aanzae aur rabita ka suraagh laganay ka ek haliya mutalea jo 30 September ko Science Magazine mein shaya huwa tha is mein daawa kiya gaya hai ke bachay corona ke phelao mein fa-aal zareya ban rahay hain. Mutalay ke mutabiq badha huwa Transmission risk ke namoonay 0 se 14 saal ki omar ke bachon aur 65 saal se ziyada omar ke afraad mein sab se ziyada hai aur yeh Hindustan mein Interracial aur Intergenerational samaji aur jismani taamul ki noiyat mein farq zahir kar saktay hain.

Mohqiqeen ne mazeed kaha hai ke agarchay Transmission mein bachon ke kirdaar par behas hui hai, Hum un bachon mein Infection ke bohat ziyada phelao ki nishandahi karte hain jo un ki apni omar ke aas paas ke mareezon se raabtey mein thay isi omar ke mamlaat mein mubtala afraad mein Infection ka khatrah bhadne ka pata lagaya gaya hai. Balighon ke darmiyan bhi corona phelao wazeh hai. Mutaliati arsay ke douran Schools ko band aur deegar Restrictions ne bachon ke mabain raabtey ko kam karne mein madad faraham ki hai. Behar haal hamaray tajziye batatay hain ke bachon ke mabain masharti mil jol is ki muntaqili ke liye mozoon halaat peda kiye ho saktay hain. Unlock 5 ke rehnuma khutoot ke mutabiq yaqeenan yeh report Telangana hukoomat ke liye pareshani ka baais hosakti hai kyunkay hukoomat Schools ko dobarah kholnay ka iradah rakhtay hain.

Pichlle mah Telangana ke wazeer taleem Subita Indra Reddy ne October mein Student Federation Of India ko apne khat mein October mein schools ki shift ke hisaab se School kholnay ki taraf ishara kiya tha taham mahireen sehat ke khayaal mein shayad yeh acha khayaal nahi hoga. Continental Hospital se talluq rakhnay walay General Physician Dr Soumya Bondlapati ke mutabiq jab ke hum yeh yakeeni tor par keh satke hain ke badi omar ke talba Covid-19 ku phela satke hain lekin class awwal se hashtom tak ke chhootey taalib ilm ko School mein shifts mein talabb karne ke bawajood bhi is par qaboo paana mushkil hoga. Yahan dekh bhaal yeh hai ke class mein sirf 10 talba hon tab bhi tamam class rooms ko achi terhan se hawadaar hona chahiye.

School kholnay mein ek aur masla yeh hai ke talba sirf taleem ke liye jamaaton ka rukh nahi karen ge balkay woh itnay taweel arsay baad apne doston se mil kar woh khelna chahain ge aur ek acha yadgar waqt guzaarna chahain ge. Agar hum inhen schools mein ek dosray ke qareeb anay se roktay bhi hain to woh school ke ihatay se nikalny ke baad aisa kar saktay hain. Koi bhi mulaqaat virus ki muntaqili ke liye khatrah saabit hosakti hai. Unhoun ne mazeed kaha hai ke is terhan mujhe is waqt mehsoos hota hai ke agar Digital Classes ka Schedule theek ho raha hai to hukoomat mazeed 2 mahino tak is par qaim rehna chahay gi.