Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaBabri Masjid muqadma, kalyan singh ko bator-e-mulzim 27 September adalat mein pesh...

Babri Masjid muqadma, kalyan singh ko bator-e-mulzim 27 September adalat mein pesh hone ka hukum

Lucknow : Babri Masjid ko munahdam karne ke mujremana muamlay mein Markazi Jaanch Bureau ( CBI ) ki khusoosi adalat ( ayodhya case ) ne BJP ke senior leader kalyan singh ko Saman jari kar ke 27 September ko talab karliya hai.

khusoosi judge Suendar kumar Yadav ne baar ke arkaan ki ittila par azkhud notice letay hue yeh hukum jari kiya hai. baar ke arkaan ne kaha hai ke kalyan singh ab governor ke ohday se subukdosh ho chuke hain. CBI ne khusoosi adalat se is muamlay mein kalyaan singh ko talab karne ki maang ki thi. yeh kehte hue ke kalyaan singh ab aaeni ohday par nahi hain, is liye inhen is muamlay mein bator mulzim Saman jari kiya jaye. is muamlay mein kalyaan ke khilaaf bhi charge sheet daakhil hai lekin governor hone  ke nate un par ilzaam tey nahi ho saka tha. tab khusoosi adalat ne CBI se is zimn mein musadeqa haqayiq paish karne ki Hidayat di thi.

11sep ki  tareekh ko CBI musadeqa haqayiq daakhil nahi kar saki thi. is ne kaha ke abhi usay is tanazur mein headquarters se koi tehreeri ittila masool nahi hui hai, lehaza is ko mazid waqt diya jaye. 16 September ko bhi CBI musadeqa haqayiq dair karne mein nakaam rahi. sath hi khusoosi adalat se ek martaba phir waqt ka mutalba kya. 21 September ko bhi CBI ne waqt dene ka mutalba kya. 30 May 2017 ko is mujremana muamlay mein CBI ki khusoosi adalat ( ayodhya case ) ne BJP ke senior leaders lal krishan adwani, murli manohar joshi, Uma Bharti , Vinay katyar aur vishnu hari dalmiya par tazirat hind ki dafaa 120 B ( saazish ) ke tehat ilzamaat tey kiye they.

Iske baad muqadma mein samaat shuru ho gayi. governor hone  ki wajah se kalyaan singh ke khilaaf ilzamaat tey nahi ho sakay they.

CBI ne jaanch ke baad is muamlay mein jumla 49 mulzimaan ke khilaaf charge sheet daakhil ki thi jin mein 16 mulzimaan ki mout ho chuki hai. ab is muamlay mein 32 mulzimaan ke khilaaf roz maraah ki bunyaad per samat horahi hai. istighasa ki janib se ab tak qareeb 336 gawah paish kiye ja chuke hain. 19 April 2017 ko Supreme court ne ek hukum jari karkay is muamlay ki samaat do saal mein mukammal karne ka hukum diya tha. halaanke abhi haal hi mein adalat ne yeh muddat 9 mah ke liye badha di hai.

6 decemeber 1992 ko Babri Masjid inhedam ke muamlay mein jumla 49 FIR darj hui theen. CBI ne arzi mein kaha ke kalyaan singh ne 4 September 2014 ko Rajasthan ke governor ke ohday ka halaf liya tha. unki 5 saal ki muddat 3 September 2019 ko khatam ho gayi. ab woh kisi aaeni ohday par nahi hain, lehaza inhen is muamlay mein talabb karkay muqadma chalaya jaye. hafta ko samaat ke douran adalat mein mojood baar ke arkaan ke bitane  par khusoosi judge ne kalyaan singh ke ohday par nah rehne ki baat ka az khud notice liya aur inhen bator-e-mulzim adalat mein paish hone  ka farmaan sunatay hue muqadma mein 27 September ki tareekh muqarrar kardi. –YTN STAFF