Monday, April 21, 2025
HomeIndiaBabri Masjid ke malbay se doosri Masjid ki taamer ka mansoobah

Babri Masjid ke malbay se doosri Masjid ki taamer ka mansoobah

New Delhi: Tareekhi Babri Masjid  ka muqadma to khatam hogaya lekin ab Masjid ke baad is ka malba mauzo behas bana huva hai. 27 baras qabal 6 December ko hindu shiddat pasandoun ne Mughal badshah Babar ke ek general Meer Baqi ki taamer kardah taqreeban sadhay 400 baras qadeem tareekhi Babri Masjid  ko din dahadhe shaheed kar diya tha. Musalmanoun ne is Masjid ko dobarah haasil karne ke liye ek taweel adalti jadd o jehed ki taham 9 November 2019 ko Supreme Court ne is par apna faisla sunaya aur Babri Masjid  ke inhedam ko poori terhan ghair qanooni bata kar bhi araazi ki malkiat hindu fareeq ko saump di, Jo Masjid ki masmari ki zimma daar tha.

Muslim fareeq ne is faislay par nazar sani ke liye Supreme court mein darkhwast dair ki thi, Jisay samaat ke baghair hi adalat ne mustard kar diya. Ab Ram Mandir ki taamer ka kaam shuru honay wala hai to sawal ye hai ke is ka malba ya Masjid ki baqyat par kis ka haq hai aur usay kis ke hawalay kiya jaye?

Babri Masjid Action Committee ne is muamlay par 25 decemeber ko ek ijlaas talabb kiya tha, Jis mein faisla kiya gaya ke is par Musalmanoun ko apna daawa pesh karna chahiye. Committee ke rukan aur Masjid ke wakeel Zafaryab Jeelani ne kaha hai ke Babri Masjid  ke malbay ko idhar udhar nahi phenka ja sakta aur unhoun ne kaha hai ke is silsilay mein hamara ek ijlaas huva tha aur ulma se mashwara kiya gaya. Masjid ki baqiyat ko idhar udhar nahi rakha ja sakta. Is se Musalmanoun ko thaiss puhanchegi. Chunkay Supreme court ne is silsilay mein koi hidaayat nahi di, Is liye hum is ke liye ek arzi daakhil karenge. Babri Masjid ka malba izzat o ehtram ke sath haasil kiya jayega.

Muslim Personal Board ke sarkardah rukan aur tarjuman Qasim Rasool Ilyas ne kaha hai ke Masjid ke malbay par Musalmanoun ka haq hai aur ye tey karne ke baad ke munasib jagah high court mein ya phir Supreme court, Darkhwast dair ki jayegi. Chunkay adalat ne tasleem kiya hai ke Babri Masjid  ka inhedam qabil saza jurm tha lehaza zameen nahi mili to malba to hum ko milna chahiye. Malba hamara hai aur hum usay haasil karenge.

Ek sawal ke jawab mein Qasim Rasool Ilyas ne kaha ke abhi ye tey nahi kiya gaya hai ke is malbay ka kya kiya jayega taham is se bohat se kaam liye ja satke hain, Malbay se Babri Masjid  ki yaad mein ek aur Masjid taamer ki jasakti hai. Is ko bator yadgar istemaal kiya ja sakta hai. Hamari nasloun ko ye yaad rakhna chahiye ke hamari Masjid jabran hum se cheanli gayi thi.

All India Milli council ke general secretary jo is muqadmay ke ek ahem fareeq they unhoun ne kaha hai ke Supreme court ke faislay ke mutabiq Babri Masjid  ki imarat Musalmanoun ki thi, Is hesiyat se is ke malbay par unhi ka haq hai. Unhoun ne kaha usay malba nahi balkay Masjid ki baqyat kehna behtar hoga. Is par Musalmanoun ka haq hai aur hum usay haasil karenge. Is ka kya karenge ye to baad ki baat hai.

Hindu fareeq ki janib se Masjid ke malbay ke talluq se ab taq koi mukhalif bayan samnay nahi aaya hai taham Masjid ki jagah se mut-tasil hi ek akhadhe ke Menattar Loginath Pandey ne is muamlay mein Musalmanoun ki himayat ki hai. Ek bayan mein kaha gaya hai ke chunkay malba Musalmanoun ka hai, Is liye wo is ke haq daar hain aur usay inhen dainay se bhai chaaray mein izafah hoga.

Babri Masjid hindustan ki shumali riyasat Uttar Pradesh ke zila Faizabad ke Ayodhya mai hai jo nawaboun ke shehar Lacknow ke paas hi waqay hai. Hindustan mein Babri Masjid hi ki terhan senkdoun aisi tareekhi Masajid hain, Jin par Hindu tanzeemoun ka daawa hai. Kahin aisi Masajid band kardi gayi hain to kisi par muqadma chal raha hai. –YTN STAFF