Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaBabri Masjid inhedam se mutaliq qabil-e-aiteraz post share karne par 2 talba...

Babri Masjid inhedam se mutaliq qabil-e-aiteraz post share karne par 2 talba ke khilaaf muqadma darj

Aligarh : Aligarh Muslim University ( AMU ) ke 2 talba ko BJP ke senior rehnuma LK advani ki tasweer ke sath babri masjid inhedam se mutaliq ek qabil-e-aiteraaz social media post share karne par police ki janib se muqadma darj kiya gaya hai. Dono talba, Talha Mannan aur Sharjil Usmani ke khilaaf BJP yuva morcha zila incharge pratick chauhan ki taraf se ki gayi shikayat par ye muqadma darj kiya gaya hai.

Darasal mazkora post, AMU ke Kennedy lawn mein jummay ko honay walay ek jalsa aam ka dawat nama tha, jis mein likha tha ke ”Babri masjid ko masmaar karne walay mujrimoun ko saza do“. chauhan ne kaha ke is tarhan ka ijlaas noujawano ko bhadkanay aur pur aman mahol ko bigaadnay ki koshish hai.

Cirlce officer civil lines ne is paish-e-Raft ki tasdeeq karte hue kaha hai ke ”Mannan aur usmani par IPC ki dafaa 153 A ( mazhab, zaat waghera ki bunyaad par mukhtalif grohoun ke mabain dushmani ko farogh dena ) aur dafaa 67 ( fehash mawaad ki ashaat ya nashriyat ) ke tehat muqadma darj kiya gaya tha. is muamlay ki tehqiqaat ki jarahi hai.

Is douran, AMU ke proctor Afifullah Khan ne bataya ke Manan MA ka taalib-e-ilm hai, jabkay usmani system ka sabiq taalib ilm tha. –YTN STAFF