Monday, May 13, 2024
HomeIndiaBabri Masjid inhedam case mein adalat ke faislay se awam ka bharosa...

Babri Masjid inhedam case mein adalat ke faislay se awam ka bharosa adliya se uth gaya. SDPI

New Delhi: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke qaumi sadar MK Faizi ne apne jari kardah akhbaari aalamia mein Lacknow CBI ki khusoosi adalat ke Babri Masjid inhedam case ke tamam mulzimon ko bari karne ke faislay ko intehai mayoos kin qarar dete hue kaha hai ke is faislay se awam ka bharosa adliya se uth gaya hai. CBI khusoosi adalat ka mushahida ke Babri Masjid ka inhedam kisi baqaida mansoobah bandi se nahi kiya gaya tha aur mulzimaan is jurm mein mulawis nahi thay yeh insaaf ke sath mazaaq ke siwa kuch nahi hai. MUlk ke sath ek baar phir ghaddari ki gayi hai aur ab Hindustan mein insaaf ek intiqam ban gaya hai.

Ayodhya mein tareekhi Babri Masjid ko BJP aur Hindutwa tanzimon ke senior rehnumao LK Advani, Uma Bharti , Vinay Katiyar aur deegar ki qayadat mein dayen baazu ke Hindutwa fashist karsekon ne din ke ujalay mein munhadim kiya tha aur poori duniya ne is inhedam ko barah-e-raast dekha tha. Indian National Congress ke is waqt ke Wazeer-e-Azam Narasimha Rao Babri Masjid ke masmaar ke waqt shutar murgh ban gaye thay aur Uttar Pradesh aur markaz mein pooray governing system ne karsykon ko Masjid masmaar karne se roknay ki koi koshish nahi ki aur chalaki se un ki himayat karti nazar aayi thi. Babri Masjid inhedam ki inquiry ke liye Liberhan Commission ka taqarrur kiya gaya tha jis ne inhedam ke 17 saal baad pesh ki gayi apni Report mein kaha tha ke Babri Masjid inhedam ko mansoobah band, Munazzam tareeqay se Singh pariwaar aur is ki zeli tanzeemon bashmole BJP ki taraf se jaan boojh kar peda kardah firqa waranah adam rawadari ki fiza ka matlooba nateeja tha.

Report mein majmoi tor par 68 afraad ko shaamil kiya gaya tha, Un mein ziyada tar Rashtriya Swayamsevak Singh, Vishwa Hindu Parishad, Bajrngdal aur BJP se talluq rakhnay walay hain aur Masjid inhedam ke zimma daar hain. Is fehrist mein BJP dasta mein nah sirf Hindutwa nazriya rakhnay walay laa LK Advani aur Murli Manohar Joshi shaamil hain balkay herat ki baat hai ke party ka mashhoor aitdaal pasand chehra Atal Bihari Vajpayee ko bhi mujrimon mein shaamil kiya gaya tha. Justice Liberhan ne mazeed kaha tha ke” Yeh ek lamhay ke liye bhi nahi mana ja sakta ke LK Advani, Atal Bihari Vajpayee ya Manohar joshi Singh pariwaar ke mansoobay ko nahi jantay thay”. Lacknow CBI ki khusoosi adalat ke Judge Srinivas Kumar Yadav ko kiya Liberhan Commission ke tehqiqati report ke baray mein ilm nahi tha jis mein un tamam logon ko wazeh tor par Masjid inhedam ke master mind bataya gaya hai jinhen aaj Judge Srinivas Kumar Yadav ne bari kiya hai? Herat ki baat hai ke Judge ne LK Advani aur Murli Manohar Joshi ko Masjid ko giranay se hajhoom ko roknay ka sehra diya hai.

LK Advani ke zareya mulk bhar mein Ram Mandir ki taamer ( Jahan Babri Masjid mojood thi ) ka mutalba karte hue nikaali gayi rath yatra koi posheeda sargarmi nahi thi. Poori duniya ne singh pariwaar ki Babri Masjid masmaar karne aur usay masmaar karne ki har tehreek ka mushahid hay kiya hai. SK Yadav ke zareya jin rehnumao ko aaj clean chit di gayi hai woh Babri Masjid inhedam ke waqt wahan par mojood thay aur Masjid inhedam karne ke liye karsiokon ki hosla afzai kar rahay thay. CBI ki khusoosi adalat ne Liberhan commission ya CBI ki tehqiqati report ki kisi bhi tehqeeq ko khatir mein nahi liya hai jis se duniya ke samnay mulk ki shabeeh daghdar hui hai. CBI ki khusoosi adalat ne jo faisla sunaya hai ek chothai sadi se ziyada purana fouj daari muqadma hai. Babri Masjid araazi malkiat se mutaliq tanaza par kayi dahaiyo ke taweel civil suit ko November 2019 mein Supreme Court of India ne apne hi tehqeeq ke khilaaf ke yeh inhedam ghair qanooni tha aur Masjid ka inhedam ek mujremana amal tha Masjid ki araazi ko mandir ki taamer ke liye day kar nimta diya tha. Jis Chief Justice of India ne yeh ajeeb-o-ghareeb faisla diya tha un ko sanghi markazi hukoomat ne Rajya Sabha rukan ka ohda day kar inhen aizaz se nawaza tha.

Aaj ke faislay se wazeh tor par is haqeeqat ko taqwiyat millti hai ke markazi hukoomat ka lalach dainay ka hathkunda achi terhan kamyaab huwa hai. CBI ke khusoosi adalat ke judge SK Yadav hukoomat ki taraf se aala ejazat ke lalach mein aasani se aagaye hain. Singh pariwaar ne mohtaat mansoobah bandi ke zariye aahista aahista jamhoriat ko mita diya hai aur apni tamam ghair qanooni aur jamhoriat mukhalif sar garmion aur un sar garmion ki himayat karne ke liye sanghi nawaz Bureaucracy aur adliya ka ek mazboot net work tayyar kiya hai. SDPI qaumi sadar MK Faizi ne ekhtataam mein kaha hai ke awam ko chahiye ke woh khamoshi ke sath system ke zareya honay wali nainsafyon ke samnay hathyaar daalnay ke bajaye bedaar ho jaien, Laden aur fashzam ko shikast den. Taakay tanawu ka mulk qaim reh sakay aur aindah naslen aman aur hum ahangi ke sath zindagi guzar saken.