Tuesday, May 7, 2024
HomeIndiaBabri Masjid inhedam Case: CBI adalat ne tamam mulzimon ko kiya bari

Babri Masjid inhedam Case: CBI adalat ne tamam mulzimon ko kiya bari

26 December 1992 ke Babri Masjid inhedam Case ki samaat karne wali Central Bureau of Investigation CBI ki khusoosi adalat ne tamam 32 mulzimon ko bari kardiya hai.

2000 safhaat par mushtamil order ko padhte hue CBI ke Judge Srinivasa Kumar Yadav ne 27 sala Babri Masjid inhedam Case ke tamam mulzimon ko bari kar diya. Adalat ne mushahida kiya ke inhedam pehlay se mansoobah band nahi tha aur shawahid mazboot nahi hain.

Case se bari honay walay afraad mein sabiq naib wazeer-e-azam Lal Krishna Advani, Sabiq markazi wazeer Murli Manohar Joshi, Uma Bharti, Sabiq wazeer aala Kalyan Singh aur Nritya Gopal Das shaamil hai.

CBI ki khusoosi Judge Srinivasa Kumar Yadav mein apne faislay mein kaha hai ke yeh Masjid ka inhedam pehlay se tay shuda nahi tha aur Lal Krishna Advani, Murli Manohar Joshi samait deegar qaideen ne ghair qanooni anasir ke zariye inhedam ko roknay ki koshish ki thi.

Adalat ne mazeed kaha ke Central Bureau of Investigation ( CBI ) guzashta 28 saloon se 32 mulzimaan ke khilaaf lagaye gaye ilzamaat ko saabit karne mein nakaam rahi hai, Aur adalat ne yeh bhi kaha hai ke adalat mein pesh ki jane wali Video Rerecording mein chaid chhad ki gayi hai.

Faisla sunaye jane par 32 mein se 26 mulzimaan khusoosi adalat mein mojood thay jab ke MM Joshi, Uma Bharti, Satish Pardhan, Gopal Das, Kalyan Singh sehat aur omar ki bana par video conferencing ke zariye shaamil hue.