Monday, April 21, 2025
HomeIndiaBabri Masjid Faisla : Zameen Ram lalla ke hawalay, Masjid ke liye...

Babri Masjid Faisla : Zameen Ram lalla ke hawalay, Masjid ke liye 5 acre zameen dene ki hidayat

New Delhi: Supreme court ne aaj Babri Masjid mutanazia zameen par apna faisla sunadiya hai. Barsoun qadeem Ram janam bhoomi Babri Masjid arazi tanaza mein Supreme court aaj apna tareekhi faisla sunadiya hai. Supreme court ne mutanazia zameen ko Ram lalla virajman ko diya hai jabkay sunni waqf board ko Ayodhya mein 5 acre zameen dene ki hidayat di hai.

Chief justice Ranjan Gogoi , Justice SA Bobde, Justice D Y Chandrachud, Justice Ashok Bhushan aur Justice S Abdul Nazeer ki aaeni bench ne ye faisla sunaya. sath hi sath Supreme court ne Shia Waqf board aur nirmohi akhardah ki arzi ko kharij kardiya.

Wazeer-e-azam Modi aur mukhtalif mazhabi rehnumaoun ne logoun se aman wo Aman barqarar rakhnay ki appeal ki hai. wahein faisla ke pesh-e-nazar mulk bhar mein security ke sakht intizamaa kiye gaye hain. Delhi  mein faisla sunanay wali aaeni bench ke paanchoun judges ki rehaish gah par jummay se hi security mein izafah kardiya. security ohdedaron ke mutabiq farzi ya ishtial angaiz mawaad se mahol kharab karne ki koshisho ko roknay ke liye social media par ki jaanay wali post par bhi qareebi nazar rakhi jayegi.

Faisla sunanay se pehlay CJI Ranjan Gogoi ne kaha tareekh zurori hai lekin qanoon sab se oopar hota hai. CJI ne kaha Meer baqi ne babri masjid banwayi thi lekin 1949 mein aadhi raat mein Ram ka mujasma rakha gaya tha. CJI ne kaha ke hum sab ke liye assaar-e-Qadima mazhab aur tareekh ahem hain lekin qanoon sab se oopar hai. sabhi mazahab ko ek nazar se dekhna hamara farz hai. CJI ne kaha ke mulk ke har shehri ke liye hukoomat ka nazriya bhi yahi hona chahiye. masjid kab banai gayi is ka scienci saboot mojood nahi hai.

Faisla sunaate hue CJI ne kaha Ram janam bhomi adalati shakhs nahi hai. ayodhya muamlay mein nirmohi akhadhe ka faisla kharij karte hue court ne Ram lala virajman qanooni tor par Manzoor shuda hai. sunni waqf board ka daawa ghor karne ke Laiq hai. isi ke sath unhon ne kaha ke SSI ki report ko kharij nahi kiya jasakta. khudayi mein mila dhancha ghair islami tha. halaanke SSI ye nahi kaha ke masjid-mandir ko todh kar banai gayi thi. –YTN STAFF