Friday, May 17, 2024
HomeLatest NewsBabar Career ke ibtidayi 4 barsoun ke records mein kohli se...

Babar Career ke ibtidayi 4 barsoun ke records mein kohli se agay

Dubai : World Cup mein Pakistani team ki Newzealand ke khilaaf kamyabi mein ahem kirdaar ada karne walay Babar Azam ka social media par hindustani team ke captain Virat kohli se mawazna kiya ja raha hai aur nai behas jari hai jis mein dinon khiladion ke ibtidayi 4 barson ki karkardagi ka mawazna kiya ja raha hai. dono khiladion ke cricket ke ibtedayi 4 saal ka record dekha jaye to kohli ne apne cricket career ke ibtidayi un 4 saal mein 74 Inning khailtay hue 2860 runs score kiye jin mein 8 centuries shaamil hain. is douran kohli ki 47.62 runs fee inning ki ausat rahi jabkay 85.56 ka strike rate raha.

Iske bar-aks Pakistani team ke Babar Azam ne apne cricket career ke ibtidayi 4 saal mein 68 Inning khailtay hue 3072 runs banaye jis mein 10 Centuries shaamil hain. Babar Azam ki 52.97 runs fee Inning ki ausat rahi jabkay 85.88 ka strike rate raha. ODI mein ek hazaar, phir 2 hazaar aur ab 3 hazaar runs ka sang mil uboor karte hue Babar Azam kohli se bhi agay nikal gaye hain. wazeh rahay kohli ne teen hazaar runs mukammal karne ke liye ziyada Inning khelain jabkay Babar Azam ne unse kam Inning mein yeh sang mil uboor kiya .

Teesray number par aakar Babar Azam aur Virat kohli ka khailnay ka andaaz ek jaissa hai. doosri janib Pakistani team ke batting coach Grant Flour ne kaha hai ke Babar Azam rawan world cup mein kohli se ziyada achi batting kar rahay hain. Babar Azam ne bhi kohli ko apna ideal qaraar diya hai. ek paegham mein unhon ne kaha ke kohli se koi muqaabla nahi hai woh ek baday khiladi hain, unki videos dekh kar apne khail ko behtar bananay ki koshish karta hon .

Pakistani team ke sabiq khiladi Mohammad Yousuf ne bhi Babar Azam ko aalmi miyaar ka batsman qarar diya hai. unhon ne apne tweet paegham mein likha hai ke mein zaati tor par yeh sochta hon ke Babar Azam kohli se ziyada behtar khiladi hain ya dunyae cricket ke deegar behtareen khiladion mein se ek hain. Newzealand ke muqablay se ek din qabal hi Pakistan ke sabiq captain Waseem Akram ne Babar par apni narazgi jatate hue kaha tha ke Babar ko Inning aur muqablay  se khatam karna hai woh seekhna hoga jis ke dosray hi din Babar ne apni Inning ko nisf century se na qabil taskheer century mein tabdeel karne ke alawa muqablay ka nateeja Pakistan ke haq mein honay tak wicket par datay rahay . –YTN STAFF