Hyderabad: Guzishta jummey hyderabad mein manson ki pheli barish huwi thi jo ke taiz raftaar honey ke sath jahan mausam garma ki wajah se pareshan awam ke liye raahat ka samaan bani to doosri janib Hitech City jo ke information technology ka markaz hai wahan Baarish ke Paani se Traffic ke sangeen masail ka awam ko saamna karna pada aur IT Companiyon ke mulazmeen ko apne gharon ki wapsi ke liye shadeed mushkilaat ka saamna karna pada.
IT Companiyon ke mulazmeen ko Baarish ke Paani se traffic jaam ke masail se bachanay ke liye liye GHMC aur IT Companiyon ke arbab majaz ka aik ijlaas munaqqid huwa jis mein yeh tajweez paish ki gayi ke mausam barsaat ke douran IT Companiyon ke auqaat kar mein tabdeeli layi jaye lekin doosri janib chunkay IT Companiyon ka kaarobar duniya ke deegar Mumalik se hota hai aur Mumalik ke darmain waqt ke farq ki wajah se Hyderabad ki IT Companian apni auqaat mein tabdeel nahi kar satke lehaza GHMC ki janib se tajweez kardah is mashwaray ko filhaal barf daan ki Nazar kar diya gaya hai.
Yahan is haqeeqat ka tazkera bhi ahmiyat ka haamil hai ke guzishta jummey ko shaam 4 bujey taa 6 bujey ke darmain jo taiz raftaar Baarish huwi thi is ki wajah se Hitech City ke beshtar ilaaqon mein Paani ghutnon se ouncha jama ho gaya tha aur kayi rastay mukammal band hogaye they jis ki wajah se ghanton Traffic jaam ka masla raha aur hazaron IT mulazmeen ko apne gharon ki wapsi par shadeed mushkilaat ka saamna karna pada. Mausam barsaat mein aindah is terha ki mushkilaat se IT Companiyon ke mulazmeen ko mehfooz rakhnay ke liye GHMC aur companiyon ke arbab majaz ke darmain jo ijlaas munaqqid huwa is mein nah sirf masail se mulazmeen ko mehfooz rakhnay par tabadlah khayaal huwa balkay deegar umoor par bhi mazekraat bhi huwe. a
Laava azeen kayi aik umoor par mazeed mazekraat ke aik aur ijlaas 27 June ko munaqqid honay wala hai, jis mein GHMC ke arbab majaz ke ilawa IT Companiyon ke kayi ahem ohdedar shirkat karne walay hain aur is ijlaas mein kayi policia nafzel amal layi ja sakti hain. IT Companiyon ke arbab majaz ke zaraye ney kaha hai ke woh apne mulazmeen ko Baarish ke baad Traffic ke masail se aur Traffic jaam mein phansay rehne se bachaney ke liye mausam ki jaankaari chand ghantay qabal hi faraham karen ge aur khaas kar ke tamam mulazmeen ko aik hi waqt ghar janey aur raastoon par Traffic jaam karne ke masail se bachanay ke liye auqaat mein kisi qader lachak dar tabdeeli karne par bhi ghhor kar rahay hain.
Teez Baarish aur Traffic jaam ki soorat mein pehlay khawateen aur aur deegar zarooratmand mulazmeen ko company se rukhsat honay ki ijazat di jaye gi taakay traffic ke masail ko kam kiya ja sakay. IT Company ke arbab majaz ney GHMC se darkhwast ki hai ke woh guzishta paanch barson ke douran shaam 4 taa 6 bujey honay wali Baarish aur is ki wajah se traffic jaam ke masail ke tamam mawaad ka tajziyati mutalea karen aur dekhen kahan kis terha nah sirf traffic jaam ke masail huwe hain.
Doosri janib GHMC ke zaraye ney kaha hai ke Hitech City ke un maqamat ki nishandahi bhi kar li gayi hai jahan Baarish ki wajah se traffic jaam ka masla sangeen hota hai. Ilawa azeen 31 aisay hassas maqamat ki nishandahi ki gayi hai jahan Baarish ki wajah se Paani ka jama hona aur traffic ka sangeen masla darpaish rehta hai yahan 10 hb (hours power) kmps nasb kiye gaye hain taakay Baarish ki wajah se jama honey walay pani ki aasani se nikasi karte huwe traffic masail par qaboo paaya jasakay.