Urdu University mein Dr Mohammad Aslam Parvez ka taalib e ilm ki ba ikhtiyaari programme par khitaab
Hyderabad: Maulana Azad Urdu University ke Vice Chancellor Dr Mohammad Aslam Parvez ney ” Taalib e ilm ki ba ikhtiyaari ” ke liye munaqidah, Students Empowerment ke programme mein kaha ke daur haazir mein taalib e ilm bhi apni ba ikhtiyaari par zor deta hai. Unhon ney kaha ke ba ikhtiyaari ke liye salahiyat, salaahiyat aur jazba khidmat zaroori hai aur khud Allah ki kitaab quran Majeed insanon ko ba ikhtiyar bananey par zor deti hai. Vice Chancellor ney Students Empowerment ki team ko Mubarak baad paish ki.
Programme Coardinater Dr Khalid Mubashir uz Zafar ney khutba istaqbalia paish kiya. Professor Siddiqui Mohammad Mahmood, Students Empowerment ney programme ke aghraaz o maqasid par roshni daali aur 4 roza programme ki report paish ki. Jalsa ka aaghaz janab Fayaz ki tilawat kalaam pak o tarjuma se huwa.
Is ke baad ”Social Media rehmat ya zahmat” ke zair unwan mobahisa munaqqid huwa jis mein Mohammad Aftaab Aalam, Mohammad Saqib, Mohammad Muftah ul qadri, Mohammad Amanatullah, Mehfooz Aalam ney hissa liya. Momin Samyah ney karwai chalaye. Dr Mohammad Rafi aur Dr Mohammad Akbar ney intizama mein hissa liya. Jabkay mohtarma Najam Alnisa , janab Abdulbari aur janab Raam club ney muawnat ki.