Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaB.R Ambedkar ke par potay ne RSS ko ”dehsht gird tanzeem “Qarar...

B.R Ambedkar ke par potay ne RSS ko ”dehsht gird tanzeem “Qarar diya

New Delhi: Dr B R Ambedkar kar ke par potay Raj Ratan Ambedkar kar ne itwaar ke roz Karnataka mein RSS se mutaliq bayan diya hai. Raj Ratan Ambedkar kar ne kaha ”Aap logoun ne mera Pakistan wala video dekha hoga. Wahan bhi mein ne kaha ke RSS hindustan ki ek dehshat gard tanzeem hai. Is tanzeem par pabandi lagayen.

Unhoun ne kaha ke’ is ke mere paas saboot hain. ”Ek sadho wazeer aazam Narendra Modi ke paas baithi hain aur interview mein kehti hain ke hindustani fouj ke paas jab barood khatam ho gaya, Jab bandooq khatam ho gaye. Jab sara dhamaka khaiz mawaad khatam ho gaya. RSS ne wo dhamaka khaiz mawaad, Wo barood, Wo bandooq, Aur wo bomb hindustani fouj ko faraham kiya tha. Unhoun ne kaha ke RSS par pabandi aed honi chahiye.

Raj Ratan Ambidkar ne kaha ke ”RSS ke paas itnay bomb kahan se hain, Itna golah barood kahan se aaya hai, Itni bandoqen kahan se ayen.? Wazeer aazam ke paas baithe hue ye sadho aisa bayan deti hain. Jis ghar mein barood paaya jaye, Kya wo har ka ladka dehshat gard nahi kaha jaye ga.?

Unhoun ne sawal kiya ke, Kya jis tanzeem ke paas itna barood hai, Wo dehshat gard tanzeem nahi hai. Un ke loog aaj dehshat gardi ki karwaiyoun mein pakdae ja rahay hain. Duniya mein aisi tanzeemoun par pabandi aed honi chahiye. –YTN STAFF