Thursday, April 25, 2024
HomeOthersPublic InterestAzim premji university ke Undergraduate mein dakhlon ka aaghaz

Azim premji university ke Undergraduate mein dakhlon ka aaghaz

Hyderabad: Azim premji university ne Undergraduate programme 2021 ke dakhlay ka elaan kardiya hai aur darkhwasten Website par dastyab hain aur dakhla ke ibtidayi amal ki aakhri tareekh 27 decemeber 2020 hai.

Classes august 2021 se shuru hunge. ye university mein paish kiye jane walay Undergraduate programs hain 3 sala B.sc. physics, biology ya riyazi mein degree aur B.A, muashiaat, angrezi, falsafah ya tareekh mein degree aur 4 sala B.sc B.ed shaamil hain. Azim premji university mein semesters physics, biology ya riyazi aur taleem ke nisaab mein mahaarat ke sath science aur taleem mein dohri degree kanzm bhi mojood hai. talba apni kaleedi salahiyaton aur deegar salahiyaton ko mustahkam karne ke liye ek aam nisaab par kaam karenge taakay unhein fa-aal aur khud se hosla afzai karne walay tareeqay se seekhnay mein madad miley.

Dakhla darkhwast dene ki aakhri tareekh 27 decemeber 2020 muqarrar ki gayi hai jabkay wast April 2021 entrance test hoga jabkay tareekh 10 June se wast May 2021 ko interview ke amal mukammal kiye jayenge. Feb 2021 taa June 2021 tak muntakhib talba ke naam khutoot arsaal kiye jayenge. Classes august 2021 se shuru honge. Talba university ki Website par online darkhwast day sakte hain. Darkhwast dahindgaan ka intikhab entrance test ki bunyaad par kiya jayega jiske baad shortlist talba ke liye shakhsi interview ke liye talabb kiya jayega. University dakhlay ke score par bhi ghor kiya jayega.

Bangalore ke muzafaat Sarjapur-Atible road par university ke mustaqil rehaishi camps mein naye campus jo tayyar hue hain un mein classon ka aaghaz hoga. 80 acre par phailay hue yeh camps shandaar sahuliyaat faraham kar rahay hain, jo 3800 talba aur 700 asaatezaa ke alawa intizamia ke amlay ke liye Asri sahuliyaat se lais hain. Is mein hostel mein qiyam karne walay afraad, faculty aur amlay ke liye rehaishi sahuliyaat, mehmanon ke qiyam, library, auditorium, theatre aur berooni aur androoni khelon ke sath deegar kayi sahuliyaat mojood hain.

Mazeed tafseelaat e-mail : ugadmissions@ apu.edu.inebsite ke alawa Website www.azimpremjiuniversity.edu. n /ug mulahiza kiya jasakta hai.