Wednesday, May 15, 2024
HomeOthersPublic InterestAzim Premji university ke Under Graduate mein dakhloun ka elaan

Azim Premji university ke Under Graduate mein dakhloun ka elaan

Hyderabad : Azim Premji university ne Under Graduate programme baraye taleemi saal 2020 mein dakhlon ka elaan kardiya hai.

Aalamia ke mutabiq pesh kardah programs mein 3 sala Bsc physics, biology aur riyazi mein degree aur BA, economics ya Humanitary mein degree ke liye dakhlay jari hain. alawa azeen 4 sala B.sc, B.ed, science aur education mein dohri degree – physical science, life science ya riyazi se kisi bhi mazmoon ka intikhab kiya jasakta hai.

University mein asaateza jo kay tadrees, tahaqeeq aur field ke tajurbay car hain unki khidmaat dastyab hain jo kay jadeed tadrisi aur learning ke tareeqon se talba ki rahnumai karen. university ki janib se degree ka nisaab jo nazam wo zabt ki geherai aur tajzia, istadlaal aur masla hal karne ki wasee salahiyaton par zor deta hai.

Kaleedi salahiyaton aur ahliton ko mustahkam karne aur fa-aal aur khud hidaayat Yafta seekhnay walay ban’nay ke liye mushtarqa nisaab muratab kiya gaya hai. 21 sadi ke hindustan ki paicheeda masharti aur siyasi haqeeqat aur masharti tor par bashaour shehri bananay mein Muawin honay walay nisaab ko degree ka hissa banaya gaya hai. Under Graduate taalib-e-ilmoun ko tahaqeeq ke liye video asbaq ka ek bada zakheera noon line mojood hai jis ko university ki Website se haasil kiya jasakta hai. talba ke liye mukammal ya juzwi scholarships ke mutadid schemes bhi university faraham karti hai.

Dakhlon aur imtehanaat ki ahem tawareekh
talba university ki Website par online darkhwast desatke hain. darkhwast dahindgaan ka intikhab short list ke baad talba ke tehreeri imthehaan aur zaati interview ki bunyaad par kiya jayega.

Darkhwast dene ki aakhri tareekh 22 November 2019 hogi.

Dakhla test ki tareekh 8 decemeber 2019 muqarrar ki gayi hai.

Interview 3,4 aur 5 January 2020 ko honge.

Feb 2020 ko offer letter diye jayenge.

July 2020 se talmi sar garmion ka aaghaz hoga. –YTN STAFF