Friday, May 17, 2024
HomeSliderAzharuddin Hyderabad cricket association ke salana ijlaas ke ineqad ke liye Pur...

Azharuddin Hyderabad cricket association ke salana ijlaas ke ineqad ke liye Pur Umeed

Hyderabad: Wabai beemari corona ki wajah se awaami ijtima  per pabandi aaed honay ke bawajood 1st decemeber ko honay walay GHMC intikhabaat ke achanak elaan ne ab yeh umeed  bedari kardi hai ke kiya Hyderabad cricket association ( HCA ) 29 November ko salana ijlaas aam ( AGM ) karwanay mein kamyaab hogi jo ke  Ragiv gandhi  stadium Uppal may munaqqid shudni hai.

Reyasti hukoomat ya police ki taraf se HCA ko is salana ijlaas ke liye green signal milna hanooz baqi hai.  AGM mein shirkat ke liye 200 se ziyada arkaan   Ek jagah honge. Sawal ye hai ke kiya in halaat mein association ijlaas munaqqid karne ki manzoori degi?  6 November ki apex council ne AGM ke liye ittafaq kiya tha aur ab shehar mein intikhabaat honay ke wajah  se police ki ijazat  milna bohat mushkil hai.

Darin asna association ke sadar Mohammad Azharuddin ne rachakonda police commissionaire mahesh bhagwat ko khat likh kar AGM ke ineqad ki ijazat talabb ki.  Unhoun  ne kaha ke woh is waba se bakhoobi waaqif hain aur disaster managment act abhi nafiz hai jis mein 100 se zayed afraad ke ijtima par pabandi hai. Unhon ne commissionaire ko bataya ke wahan 230 se ziyada arkaan  ki haazri hosakti hai aur is liye unhon ne unki manzoori talabb ki ke aaya ijlaas karwaya jasakta hai aur agar zaroorat ho to SOPs ko bhi pairwi ki jaye.

Taham AGM per aur naye season ke league matchon ke aaghaz ke haliya elaan par tufaan barpaa hai. Apex council ke arkaan ke khilaaf abhi tak taaza  ke tanqeed ke baad Azharuddin ne league matchon par apni tashweesh ka izhaar karte hue club ke secretaries ko ek khat likha hai. unhon ne kaha hum ek aalmi wabai haalat mein hain jisne IPL jaisay mega event ko bhi Hindustan mein honay se rok diya. Isi pas manzar mein hi Apex council ne usooli tour par faisla kiya ke league matchon ko sharait ke sath karwaya jaye taakay yeh yakeeni banaya ja sakay ke ( 1 ) hum qanoon ki khilaaf warzi nahi karte hain ( 2 ) hum khiladion, umpires, secretaries aur deegar ki sehat ko khatray mein nahi daaltay hain.

Azharuddin ko lagta hai ke apex council league matchon ke ineqad mein jald baazi kar rahi hai. pichle kuch dinon ke douran mein league ke season ko muntakhib karne ke liye ghair yakeeni aur napasandeedah jaldi dekh raha hon ke woh tamam usoolon ko aasani ke sath nazar andaaz kardiya ja raha hai.

Unhon ne mazeed kaha ke un matchon ke ineqad ke liye haasil kardah sarkari ijazat naamon aur wabai amraaz ke aur deegar insedad iqdamaat par bhi koi wazahat nahi hai.  Humare paas abhi selection committee nahi hai jo jaakar khiladion ko karkardagi ka jaiza le sakti ho.  Selection cometion ko sirf AGM mein hi hatmi shakal di ja sakti hai agar hamein matlooba ijazat mil jaye to 29 November ko ijlaas hoga.  Azharuddin ne mazeed kaha ke  ye ke BCCI ne hi apne gharelo nizaam ul uqaat ka elaan nahi kiya hai.  To hamein  jaldi kiya hai.