Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaAzam khan ne Lok sabha mein Rama devi se mutaliq tabsaray par...

Azam khan ne Lok sabha mein Rama devi se mutaliq tabsaray par maafi mangi

New Delhi : Samajwadi party ke rukan-e-parliment Azam khan ne guzashta hafta lok sabha ki karwai ke douran BJP ki rukan parliment Rama devi se na-zeba baat kehnay per peer ko Lok sabha mein maafi mangi.

Lok sabha mein jama honay ke fouri baad speaker Om Birla ne Uttar pradesh ke Ram pur se rukan parliment Azam khan se is maamla par jawab dainay ko kaha. jis par Azam khan ne kaha ”mera aisa koi iradah nahi tha. iske bawajood agar unko lagta hai ke mujh se koi ghalti hoyi hai to, mein is ke liye maazirat khwa hon. is par Rama devi ne kaha ke Azam khan ki aadat bigdi hui hai.

25 July ko muslim khawateen ( huqooq niswan huqooq tahaffuz ) bill 2019 par behas mein hissa lete hue Azam khan ne Rama devi se mutaliq qabil-e-aitraaz tabsarah tha. jo is waqt Deputy speaker ki hesiyat se karwai chala rahi theen. Rama devi ne is waqt khud hi aitraaz kiya tha aur usay parliment ke record se kharij karne ka hukum diya tha. aglay din Lok sabha arkaan ne Azam khan ke khilaaf sakht karwai ka mutalba kiya tha. –YTN STAFF