Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaAzam Khan aur unke ahal-e-khana ke khilaaf na-qabil zamanat warrant jari

Azam Khan aur unke ahal-e-khana ke khilaaf na-qabil zamanat warrant jari

Rampur : Rampur zila ki adalat ne Samajwadi party ke rukan-e-parliment Mohammad Azam Khan aur unke ahal-e-khana ke khilaaf na-qabil zamanat giraftari warrant jari kiya hai.

Maamla Azam Khan ke Farzand Abdullah azam, jo Samajwadi party ke rukan-e-assembly hain, unke pedaishi dastawizaat mein honay walay tanaza se mutaliq hai.

Azam Khan , unki ahliya, aur Farzand Abdullah Azam mangal ko adalat mein paish honay they, lekin un mein se koi bhi adalat mein paish nahi hua, jiske baad adalat ne un ke khilaaf na qabil jamanat warrant jari kar diya. is maamla ki samaat ki agli tareekh 2 decemeber muqarrar ki gayi hai.

BJP rehnuma Akash Saxena ne Azam Khan aur unke ahal-e-khanah ke khilaaf Sections 420, 467, 468, 471 IPC ke tehat muqadma darj kiya tha.

Abdullah Azam ne mobayyana tor par apne passport mein mukhtalif pedaishi certificate diye they aur phir intikhabi halaf nama aur is muamlay par ahal-e-khana ke khilaaf muqadma darj kiya gaya tha.

Rampur mein Azam Khan aur unke ahal-e-khana ke khilaaf 84 se zayed fouj daari muqadmaat zair iltiwa hain. ye muqadmaat, tajawazat, qabza, kitaab chori, mujasmay ki chori, bijli ki chori, bhainson ki chori, bakri ki chori, aur jealsaazi se mutaliq hain.

Azam Khan muqadmaat mein paishgi zamanat haasil karne mein nakaam rahay hain. unki ahliya Tanzeen fatima, jo Rajya sabha ki Sabiqa rukan-e-parliment hain, haal hi mein guzashta mah honay walay ek zimni intikhab mein Rampur se assembly ke liye muntakhib hui hain. –YTN STAFF