Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaAzadi ke waqt peda honay walay bhi Birth certificate bananay ke liye...

Azadi ke waqt peda honay walay bhi Birth certificate bananay ke liye koshan

New Delhi: Shehriat Tarmeem Qanoon nafiz honay ke baad ek taraf jahan musalsal ehtijaj jari hain to doosri taraf is qanoon par sahih maloomat na honay ki wajah kayi shehroun mein muncipalti daftroun mein afratafri dekhnay ko mil rahi hai, Yahi haal Hapur ka hai, Jahan badi tadaad mein loog paidaiesh certificate banwanay ke liye darkhwast day rahay hain, Un mein se badi tadaad aisay loogoun ki hai jo 1950 se pehlay peda hue they.

Hapur Nagar Palika ke EOJ ke Anand se jo tafseelaat haasil hui hain is ki roshni mein kaha ja sakta hai ke paidaiesh ka certificate banwanay ke liye achanak bheed umand padi hai, Kuch loog 1948 aur kuch loog 1952 ke paidaiesh certificate banava rahay hain. Anand ne kaha hum jin masail ka saamna kar rahay hain wo ye hai ke purani tarikhoun ki maloomat haasil karne mein pareshani ho rahi hai, Phir bhi hum karne ki koshish kar rahay hain, Mein ye nahi samajh pa raha hon ke ye ghair mutawaqqa hajhoom kyun hai, Chand dinoun mein hi 500 se ziyada loogoun ne darkhwast di hain. Pehlay ye adaad haftay mein sirf 5-6 ka hi hote they.

Nojawanoun ke sath hi 1948 tak ke loog paidaiesh ka certificate banwanay ke liye darkhwast day rahay hain, Yani mulk ki azaadi apni aankhoun se dekhnay walay loog bhi paidaiesh certificate banwanay ke liye darkhwast day rahay hain. Itnay puranay paidaiesh ka certificate jari karne mein hakkaam ke paseenay chhuut rahay hain.

CAA ke khilaaf UP mein bhi baday pemanay par pur-tashaddud muzahirey hue hain, Kayi azlaa mein Internet band rakhna pad raha hai. Is ke ilawa badi tadaad mein loogoun ko hirasat mein liya gaya, Kayi azlaa mein baday pemanay par loogoun ke khilaaf FIR darj karke giraftaryan ki gayi hain.

20 decemeber ke jummay ko shehriat qanoon ke khilaaf namaz jummay ke baad jagah jagah ehtijaj o muzahiray hue they aur tashadud ke waqeat bhi samnay aeye they aur is wajah se dosray jummay ko Yogi hukoomat kaafi ghabrayi hui nazar aa yi hai. Ahteyati qadam uthatay hue UP intizamia ne riyasat ke 15 hassas shehroun mein Internet khidmaat band karne ka elaan kar diya hai.

Zaraye ke mutabiq Uttar Pradesh ke dar-ul-hukumat Lacknow, Ghaziabad, Meerut, Aligarh, Saharanpur, Bulandshahr, Bijnor, Muzaffarnagar, Shamli, Sambhal, Ferozabad, Mathura, Agrah, Kanpur aur Sitapur mein Internet khidmaat band kar di gayi. Meerut aur Aligarh mein jumaraat ki shab 10 bajey se Internet band karne ka hukum sadir huva. Maghribi Uttar Pradesh ke hassas tareen ilaqa Muzaffarnagar zila mein 28 decemeber tak Internet band karne ka hukum jari kiya gaya hai. Reyasti intizamia ne deegar sabhi azlaa ke zila Magistrate ko ye ijazat day rakhi hai ke agar maamla hassas nazar aata hai aur firqa waranah kasheedgi ka andesha ho to ahthyat ke tor par apne ilaqay mein Internet ko band karwa satke hain. –YTN STAFF