Wednesday, April 24, 2024
HomeIndiaAzadi ke 74 saal baad bhi angerezon ke daur ka qanoon...

Azadi ke 74 saal baad bhi angerezon ke daur ka qanoon ki kya zaroorat

Supreme Court ne mulk se ghaddari ke intezamath ke istemaal ko musalsal jari rakhnay par sawal kar te ho kaha ke azadi ke 74 saal baad bhi is terhan ke iltazam ko qaim rakhna badh bakhtana hai. cheif justice N.V.raman, justice A.S.bopna aur justice rashi kesh rai ki bench ne major general ( retired ) SG Vimb thakere ki arzi par sunwai ke douran attorny general ke ke vinogopal se tazirate hind ( IPC ) ki dafaa 124 ( A ) qaim rakhnay ke zaroorat par sawal kiya hai.

Justice raman ne mister vinogopal se poocha ke azadi ke 74 saal guzar jane ke baad bhi samraji daur ke is qanoon ki zaroorat hai kya, jis ka istemaal azadi ki larai ko dabanay ke liye gandhi aur baal ganga dhar tilak ke khilaaf kya gaya tha. vinogopal ne adalat ko mutala kya ke mulk se ghaddari ke iltazam ki aaeni hesiyat ko challenge karne wali arzi pehlay se hi doosri bench ke paas zair altawa hai. is ke baad adalat ne is arzi ko bhi isi ke sath mutaliq kar diya, halaank is ne markaz ko notice bhi jari kiya.

Sulwayi ke douran justice raman ne attorny general se poocha ke aakhir is iltazam ki zaroorat kya hai jab is ke tehat jurm saabit honay ki sharah bilkul nahi hai. cheif justice ne is douran information technology ki mustard ki gayi dafa 66 A k tehat muqadma jari rakhnay jaisi la parwahi ka bhi zikar kiya.

Yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke is waqt hindostan mein kayi afraad ke khilaaf mulk se ghaddari ke qanoon ke tehat muqadma darj kya jata hai aur inhen adalti karwaiyon ka saamna karna parta hai. kayi aisay waqeat haliya dinon mein manzar aam par aaye hain jin mein hukoomat ke khilaaf aawaz uthany walon ke khilaaf mulk se ghaddari ka muqadma darj kiya gaya.