Tuesday, April 23, 2024
HomeOthersOpinionAzaan School waqea aur hamara rawayya

Azaan School waqea aur hamara rawayya

Hyderabad. Azaan International School mein jummay ke din aik paanch sala ladki ke sath jinsi ziyad-ti ke waqea ke baad afwahon ka bazaar garam raha hai. Hafta ki subah baaz anasir ki janib se yeh afwaah phelanay ki koshish ki gayi ke mutasirah kamsin jaanbar na hosaki jis mein koi sadaqat nahi thi, shayed is ke pas e parda yeh zahen karfrma raha hoga ke awam gussa se be qaboo hokar School par toot padee. isi tarha mulzim ko riha kardainay ya Police ki janib se School intizamia ki pusht panahi karne hatta ke School intizamia ke aik fard ki janib se hi asmat raizi kiye jaanay jaisi bateen phelanay ki koshish ki gayi hai. Iss waqea ki aad mein baaz anasir School ko nishana bananay ki niyat se bhi mahol ko garmanay ki koshisho mein lagey rahay. Mutasirah bachi ka Nilofer mein kamyaab ilaaj kya gaya hai aur tawaqqa hai ke usay aaj dischage bhi kardiya jaye ga. Police ney jummay ki shab hi mulzim ko hirasat mein le liya hai aur usss ke sath kadi pooch gach ki jarahi hai. Zaraye ney bataya ke tafteesh mein kisi qisam ki rukawat na ho iss liye mulzim ko Bolaram Police Station muntaqil kardiya gaya hai jahan uss ki tafteesh ki jarahi hai. Police mukhtalif paheloun se is case ka jaayiza le rahi hai. Mauqa e waardaat se shawahid ikhatta kiye gaye hain aur mutasirah ladki ki tibbi jaanch ki report ki roshni mein irtikaab jurm ki kadiyaan milaane ki koshish ki jarahi hai. Aisa mehsoos hota hai ke Police ko lag raha hai ke kuch kadiyaan nahi mil rahi hain. Agarchay Police ney mulzim ke khilaaf IPC ki dafaa 376 aur bachon ko jinsi juarayim se bachao ke qanoon POCSO Act ke tehat muqadma darj karliya gaya hai, taham usay aaj raat ya kal judge ke rubaroo paish karte hue Police tahweel mein le liya jaye ga. Police hukkaam ka kahena hai ke mukhtalif pahluon se jayiza lainay ke baad School intizamia ke khilaaf la parwahi ka muqadma darj karte hue munasib karwai ki jaye gi taham awam ko chahiye ke woh Police ko ghair janbdaranh tahqiqaat karne aur qanoon ke mutabiq kaarwai karne di jaye aur qanoon ko apne haath mein letay hue pur aaman maahol ko bigaadney ki koshish na ki jaaye. Iss waqea ke tanazur mein School par hamla karne aur law and order ko bigaadnay ki koshish karne walon ko hirasat mein le liya gaya hai jin mein woh khawateen bhi shaamil hain jo guzishta do din se School ki imlaak ko nuqsaan pohanchanay ki koshish kar rahi theen. bataya jata hai ke yeh khawateen jo mutasirah ladki ke rishta daar betaye jatay hain aaj bhi School pahonch kar hungama aarai kar rahi theen. Iss mazmoom waqea ki ittila ke baad kal raat se hi School ke rubaroo ehtejaji muzahiron ke alawa School ki imlaak ko nuqsaan pahonchaney aur law and order bigaadnay ki koshish ki jarahi hai. Aaj seh paher bhi naujawanon ka aik group School pahonch kar pur-tashaddud karwaiyan karne laga jis par unhen bhi hirasat mein le liya gaya hai. Iss se inkaar nahi ke masoom ladki ke saath intahi insaaniyat soaz harkat ki gayi hai jis ki jitni mazammat ki jaye kam hai aur khaati ko itni sakht saza di jani chahiye ke aayindah koi bhi aisi harkat karne ki jurrat na kare taham hum mein itna tahammul nahi hai ke qanoon nafiz karne wali agencio ko qanoon ke mutabiq karwai ka mauqa diya jaye aur unhen jurm saabit karne ki mohallat di jaye. Hum ladki ke khandan ki takleef aur un par tootay gham ko bhi samjhtae hain is ke bawajood hamein yeh nahi bhoolna chahiye ke qanoon mulzim ko apni be gunahi saabit karne ka mauqa faraham karta hai aur kisi bhi mulzim ko is ke jurm ki qarar waqai saza dainay ke liye kuch qanooni marahil hotay hain jin ko taye karna zarori hota hai. Iss se bhi inkaar nahi ke maa baap apne bachon ko School intizamia ke bharosa hi School bhaijtay hain aur woh mutmayeen hotay hain ke School mein un ke bachay mehfooz hon ge aur unhen kisi qisam ki kharoch bhi aati hai toh iss ki zimmedaari School intizamia par aayed hoti hai lekin School ke aik mulazim ki iss ghanaoni harkat ke liye School intizamia ko bhi utna hi qusoor waar thayeraya ja raha hai jitna ke iss ghanaoni harkat ka murtakib hai. Mutasirah ladki ke aik rishta daar ney is waqea ke liye na sirf iss School ko closed kar dene, sealed kardainay iss ki Musallimah haisiyat barkhast karne ka mutalba kar rahay hain balkay School ki imarat ko bulldozer se dhaa daine ki bhi maang kar rahay hain aur woh chahtay hain ke is School ke Chairman, Owner, Principal aur class teacher ko bhi girftar karliya jaye. Police par School intizamia ko bachanay ki koshish karne ka bhi ilzaam aayed kya jaraha hai. Yahi nahi balkay aik siyasi party par bhi unhon ney ilzaam aayed kya ke woh School intizamia ko bachanay ki koshish kar rahi hai, halaank aisa kuch bhi nahi hai. Aaj hamara mizaaj kuch is tarha ka ban chuka hai ke hum chahtay hain ke kisi waqea ko hum jis nazriya se dekhte hain, qanoon nafiz karne wali agencies bhi waisa hi dekhe aur qanoon baalaye taaq rakhtay hue hum jaissa chahtay hain waisi sazayen dein. Qanoon nafiz karne wali agencies ki bhi kuch majbooriyan hoti hain woh qanoon ke hathon bandhay hotay hain aur unhen qanoon ke daire mein reh kar hi kaam karna hoga. Haan yeh zaroor hai ke jurm saabit honay par mulzim ko Ibrat naak saza di jaye aur ab aisa mumkin hai chunkay qanoon hi itna sakht banadiya gaya hai ke koi bhi mulzim aisay ghinaone jurm ka irtikaab karkay azad ghoom nahi sakta. Aisay waqeaat mein Media ko aik mutawazun role ada karna padta hai magar social media ke saharay sahafion ki saf mein shaamil hojane walay kuch juhla aik dosray par baazi le jaanay ki koshish mein sahafati aqdaar ki dhajiyan udatay nazar arahay hain. Facebook aur Whatsapp ke zareya khabron ki tarseel karne walon mein kuch to ladki ke waalid ki mutasirah masoom ke sath video jari kar diye aur kuch ney ladki ki tasaveer aam kar di hai. Halaanke qanoon ki roo se asmat raizi ke shikaar khawateen aur na baligh ladkiyon ki shanakht ko posheedah rakhna hai aur mukhtalif qawaid ki roo se mutasirah khatoon/ladki ki taraf ishara karne wali har uss cheez ko zahir karne se parhaiz karna chahiye jis se mutasirah ladki ki shanakht hojaye, jaissa mutasirah ke arkaan khandan, is ka ghar ya mout ki soorat mein aakhri rasomaat waghera.