Tuesday, May 7, 2024
HomeJurmAzaan School jinsi ziyadati case: Mulzim ki giraftari ki tauseeq

Azaan School jinsi ziyadati case: Mulzim ki giraftari ki tauseeq

Fast Track Court mein aajilana samaat ke iqdamaat. Jinsi ziyadati infiradi jurm hai aur School intizamia ke khilaaf mutasirah ladki ke walidain ne bhi tehreeri shikayat nahi ki thi is liye School intizamia ke khilaaf ta haal koi muqadma darj nahi kya gaya: DCP West Zone.

Hyderabad. Hyderabad Police ne Azaan International School mein aik masoom ladki ke sath jinsi ziyadati ke case ki Fast Track Court mein aajilana samaat ko yakeeni banaye gi. Police ne mulzim Mohammad Jelani Security Supervisor ki giraftari ki tauseeq karte hue kaha ke aaj usay Adalat mein paish kya ja raha hai. Deputy Commissioner of Police West Zone Mr. A. R. Srinivas ne aaj aik press conference mein mulzim ki giraftari aur Police tehqiqaat par roshni daali. Unhon ne aik sawal ke jawab mein kaha ke is waqea ke ziman mein School intizamia ke khilaaf ta haal koi muqadma darj nahi kya gaya chunkay is jurm ka irtikaab infiradi taur parr kya gaya hai aur shikayat kunindah ne bhi School intizamia ke khilaaf koi shikayat nahi ki hai, albatta walidain se baat cheet karne par unhon ne bataya ke ibtida mein School intizamia ne do ghanton tak taawun nahi kya. Tehqiqaat mein is baat ka pata chalaya jaye ga. Mr. Srinivas ne kaha ke Police ki tamam tar tawajah asmat raizi ke muqadma par markooz hai. Taham DCP ne bataya ke unhon ne zila collector se baat ki hai aur unn se khwahish ki hai ke woh tehqiqaat karwaen ke aaya School chalanay se mutaliq murawwija qawayid ki khilaaf warzi to nahi ki gai hai. Iss khusoos mein DEO ko tehqiqaat karne ki hidayat di gayi hai. Yeh poochnay par ke School mein maazi mein bhi isi tarha ke waqeat runuma ho chukay thae? DCP ne kaha ke hamein abhi tak aisi koi shikayat mausool nahi hui hai. Unhon ne kaha ke agar walidain aisa koi waqea hota hai aur woh Police se rujoo nahi hue thae toh Police kya kar sakti hai? Police ke press note mein ab tak ki gayi tahaqeeq ki roshni mein bataya gaya ke 14th  September ko mutasirah ladki apne walidain ke sath School pahonchi aur wahan se Headmistress ke hamrah woh Jaya Bhushan Hospitl Mehdipatnam pahonche. Ibtidayi tibbi imdaad ke baad Doctor ne inhen mutasirah ladki ko dosray hospital ko le jaany ka mashwara diya. Woh dobarah School pahonche aur School mein mutasirah ladki ne Headmistress aur deegar amlah ki maujoodgi mein mulzim ki shanakht ki. Mutasirah ko fauri Nilofer Hospital rujoo kya gaya jahan usay shareek dawakhana karliya gaya. Ladki ki surgery ki gayi aur is ka ilaaj jari hai. Hyderabad City Police ki Clues Team ne muqam waardaat ka daura kya aur muaayina kya. Waldain, Headmistress, Class Teacher aur aaya aur deegar ke tafseeli bayanaat record kiye gaye. Mutasirah ladki ki ashya, Director Telangana Forensic Sciences Laboratory ko tajzia aur report ke liye bhej di gayeen. Press note mein bataya gaya ke iss case mein na baligh ladki par jabran dakhuli jinsi ziyadati saabit hoti hai. Yeh bhi kaha gaya hai ke mutasirah ladki ka ilaaj jari hai aur Crpc ki dafaa 164 ke tahet mutasirah ladki ka tafseeli bayan Magistrate ki janib se record kya jaye ga aur medical report ka intzaar hai. Iss case ki tahqiqaat ACP Asifnagar Mr. K. Ashok Chkravarti ki nigrani mein Mr. Mohammad Munawar Deputy SP incharge Golconda Police Station kar rahey hain jabkay Additional DCP West Zone Mr. Venkateshwarlu case ki paishraft par nigrani rakhay hue hain.