Tuesday, May 7, 2024
HomeHyderabadAzaan School case, Barrister Owaisi mutharrik

Azaan School case, Barrister Owaisi mutharrik

Hyderabad. Rukn e Parliament Hyderabad wo Sadar All India Majlis Ittehad ul Muslimeen Barrister Asaduddin  Owaisi ney Azaan International School mein aik masoom ladki ke sath jinsi zayadati ke case mein aaj Commissioner of Police Hyderabad Mr. Anjani Kumar aur Dist. Collector Hyderabad Mr. M Raghunandan Rao se mulaqaat karte huwe School intezamia ke khilaaf District Education Officer ki tehqiqati report ki roshni mein sakht karwai karne aur aajilana  tehqiqaat karne ka mutaleba kiya. Barrister Asaduddin Owaisi ney Commissioner Police se khwahish ki ke maamla ki hsasasiat ko dekhte huwe case ki tehqiqaat CCS ke hawale ki jaye aur School mein tanseeb tamam Electronic devices zabt karliye jayen. Unhon ney School intezamia ke khilaaf bhi muqadma darj karne aur School ki kushadgi ki ijazat na dainey ka bhi mutaleba kiya hai. Barrister Asaduddin ke hamrah sabiq Rukn e Assembly Karwan wo Majlisi umeedwaar Mr. Kausar Mohiuddin ke alawa mutasirah ladki ke waalid aur dosray rishte daar bhi maujood thae. Barrister Asaduddin Owaisi ney Dist. Collector se bhi mulaqaat ki aur un se khwahish ki ke DEO ki report ki roshni mein School intezamia ke khilaaf sakht karwai ki jaye aur is baat ko yakeeni banaya jaye ke School ki dobarah kushadgi na hosaki. Ladki ke waalid ney baad azan akhbaari numaindon se baat cheet karte huwe kaha ke woh Sadar Majlis ke shukarguzar hain ke unhon ney shakhsi dilchuspi letay huwe na sirf Commissioner Police Hyderabad se numaindagi ki hai balkay Dist. Collector ke paas bhi pahonch kar numaindagi ki hai. Unhon ney kaha ke Barrister Asaduddin Owaisi ney teyqun diya ke khaati ko kaifar e kirdaar tak pahonchaya jayega aur School intezamia ke khilaaf bhi sakht se sakht karwai ko yakeeni banaya jaye ga. Yaad rahay ke kal School ke rubaru kiye jaaney walay muzahira ke dauran ehtejajyon ney Majlis Ittehad ul Muslimeen ki qayadat par School intezamia ki pusht panahi ka ilzaam aayed karte huwe naaray bhi lagaye thae. Ladki ke waalid ney bhi Majlis ke khilaaf barhami ka izhaar kiya tha taham raat mein Majlis ke sabiq Rukn e Assembly Mr. Kausar Mohiuddin ney mutasirah ladki ke ghar pahonch kar ahal e khandan se mulaqaat karte huwe is ghalat fahmi ka azaala kiya tha ke Majlis kisi bhi mulzim hatta ke School intizamia ki pusht panahi nahi kar rahi hai balkay Majalsi qiadat, mutasirah khandan ke sath hai jis par raat mein hi ladki ke waalid ney apni ghalti ka ehsas karte huwe majalsi qayadat se moazarat khawahi karli thi.