Friday, April 26, 2024
HomeHyderabadAzaan International School ki adam kushadgi, Parents pareshan

Azaan International School ki adam kushadgi, Parents pareshan

Hyderabad. Azaan International School ke aik mulazim par kamsin bachi ke sath ziyadati ke ilzam ke tanazur mein mahkuma e taleem ki janib se ta hukm e saani idaare ki kushadgi par rok lagadene se pareshan talba ke Parents ney mustaqbil ka laiha amal tayyar karne aaj yahan aik mushawarti ijlaas munaqqid kya jis mein aik hazaar se zayed Parents ney shirkat ki. Ijlaas mein Azaan International School mein zair e taleem deegar bachon ke mustaqbil ke baaray mein aik mabsoot hikmat e amli tayyar karne Parents ki Association qaayim karte hue iqdamaat karne ka faisla kiya gaya. Ijlaas mein shirkat karne walay auwliyaye talba ney ittefaq raaye se arkaan aamila par mushtamil aik Adhoc Committee tashkeel di hai. Iss Executive Committee ney ijlaas mein mazkoorah waqea ke tanazur mein ghalib halaat ka jaayiza liya. Ijlaas mein Azaan School ki ladki ke saath 14th September ko paish aaye waaqea ki muzammat ki gayi aur tamaam Parents ney kamsin ladki aur is ke arkaan e khandan ke sath izhaar e hamdardi kya. Association ko walidain aur auwlia e talba ney bashmole intizami khamion ke School Administration ke talluq se kayi shikayaat keen aur intizamia ke mutkabbirana rawayya ki shikayat ki. Adhoc Committee ney Parents  ko yaqeen dilaya ke bachon ke sarpraston ki tamam shikayaat ki yaksoi ke liye thos iqdamaat kiye jayen ge. Ijlaas ka yeh ehsaas tha ke School ki ghair muayana muddat ke liye School ki masdoodi se School mein zair e taleem bachon ki na sirf taleem mutasir ho rahee hai balkay un ke azhaan par manfi asraat bhi pad rahe hain. Ijlaas mein Executive Committee ko yeh ikhtiyar diya gaya hai ke masla ki yaksoi ke liye tamam mutaliqa Authorities bashmool District Education Officer, District Collector aur mahkuma taaleem ke aala ohdedaron se rujoo hotay hue aajilaana taur par qaabil e qubool hal talaash kya jaye aur zaroorat padney par qanooni charah joyi bhi ki jaye taakay munazzam aur mehfooz mahol mein bachon ki taleem ka silsila jari reh sakay. Prents ki tanzeem ney maamla ki tehqeeq karne walay Police ohdedaron ki satayish ki aur un se izhaar tashakkur kya aur umeed zahir ki ke haqayiq ka pata chalate hue khaati ko qarar e waqai saza dilae jaye gi.