Monday, April 21, 2025
HomeIndiaAyodhya Tanaza Mein Salisi Ki Miyad 31 July Tak Badha Di...

Ayodhya Tanaza Mein Salisi Ki Miyad 31 July Tak Badha Di Gayi

New Delhi : Supreme Court ne Ayodhya mein Ram janam bhoomi Babri masjid zameeni tanaza mein salisi ke amal ki muddat 31st  July tak  badha di hai. Supreme Court ke sabiq judge FMI kalif ullah ki qiyadat mein salisi committee ne justice Ranjan Gogoi ki qiyadat wali paanch rukni aaeni bench ke samnay apni report paish ki. adalat ne committee se appeal ki ke woh 31 July tak  salisi ka amal jari rakhen.

Justice Gogoi ne kaha hum salisi committee se yeh tajweez dete hain ke woh 31 July tak  salisi ka amal jari rakhay aur –apne nataij ke hawalay se adalat-e-uzma ko mutala kare. Cheif Justice ne salisi committee ki paish Raft ka jaiza lainay ke 2 august ki tareekh muqarrar ki hai. justice Kaleef ullah committee ne aaeni binch ke aaj 11 July ke hukum par amal karte hue apni report paish ki thi. adalat ka yeh hukum gopal singh vishard ki darkhwast ki samaat ke douran aaya tha. saal 1950 mein dair Ram janam bhomi babri masjid zameeni tanaza ke haqeeqi mudai Rajendar singh they, jis ke inteqal  ke baad Mr Vishardh yeh muqadma ladh rahay hain.

Mr Vishardh ne 9 July ko arzi daakhil karkay muamlay ki samaat jald shuru karne ki adalat se darkhwast ki thi. unhon ne Daleel di thi ke salisi ke amal ke nataij ab tak  bohat achay nahi hain, aisi soorat e haal mein samaat jald shuru ki jani chahiye. un ki un dalail ke baad adalat ne committee se paish Raft report talabb ki thi. committee ne aaj daakhil kardah report mein salisi ke baray mein misbet ishara diya hai, lekin adalat ne is report ko fil haal mutaliqa fareeqon ke sath ishtiraaq karne se inkaar kardiya hai. aaeni bench ne salisi ke liye justice Kaleef ullah ki sadarat mein teen rukni committee tashkeel di thi jis mein art of leaving ke baani shree shree Ravi Shankar ke maahir wakeel Shree Ram pancho shaamil hain. –YTN STAFF