Monday, April 21, 2025
HomeIndiaAyodhya tanaza mein kuch jamatein samjhotey par pohanch gaye hain : Advocate...

Ayodhya tanaza mein kuch jamatein samjhotey par pohanch gaye hain : Advocate Shahid Rizvi

New Delhi : UP sunni waqf board ke numainday ne kaha ke ayodhya tanaza mein shaamil kuch jamatein ek samjhote par pohanch gayi hain. jis se ”donoun fariqain ki jeet ki sorat-e-haal ko yakheeni banaya jayega aur iske liye kisi faislay ki zaroorat nahi hogi.

Advocate Shahid Rizvi ne, waqf board ke chairman Zafar Ahmed Farooqi ki janib se kaha ke ”tasfia ki sharait aisi hain ke dono fareeq mayoos nahi honge, aur hum koshish karenge aur doosri jamaaton ( raam lalla virajman aur nirmohi akhadhah ) se ikhtilafat door karenge.

Rizvi ne zor-day kar kaha ke, is noiyat ke tanaza ko faislay ki zaroorat nahi hai, aur yeh tasfia behtareen hal hai, taham supreme court mein waqf board ki numaindagi karne walay wakeel ne tasfia ki noiyat par koi tabsarah karne se inkaar kardiya hai.

2011 mein board ke zareya do appeals dair ki gayeen theen. markazi muqadma aur raam lalla muqadma. Rizvi ne bataya ke adalat ke muqarrar kardah salisi panel ne sharait wo zawabit ki bunyaad par adalat mein ek report darj ki thi, jis par fariqain ne ittafaq kiya tha. yeh report chaharshambe ki subah adalat mein pesh ki gayi. unhon ne waqf board nirmohi akhada aur teen deegar hindu jamaaton ke mabain taye shuda sharait wo zawabit ki noiyat ki tafseelaat nahi batayi.

Taham, nirmohi akhadhah ne salisi se mutaliq davon ko mustard kar diya hai. is ke tarjuman karitk chopra ne kaha ke wo ( waqf board ) faislay ke mehfooz honay ke muntazir kyun they, inhen adalat mein aana chahiye tha aur hamaray haq mein raazi hona chahiye tha.

Is par, faislay se pehlay tasfia ke qanooni channel ka hawala dete hue Rizvi ne kaha ”civil muqadmaat mein ek dafaa mojood hai, jahan fariqain faisla mehfooz honay ke baad bhi maamla taye kar sakte hain, mazeed ye ke ye ek Tarfah moahida nahi hai.

Chief justice ranjan gogoi ki sarbarahi mein supreme court ki 5 judges ki bench ne chaharshambe ko 40 dinoun ki samaat ke baad is case se mutaliq apna faisla mehfooz karliya hai. aur 17 November , chief justice Ranjan Gogoi ke retirement se qabal iska faisla sunaya jasakta hai. –YTN STAFF