Monday, April 21, 2025
HomeIndiaAyodhya muamlay par Supreme Court ke faislay ke khilaaf nazar sani ki...

Ayodhya muamlay par Supreme Court ke faislay ke khilaaf nazar sani ki darkhwast daakhil karne ka elaan

Lakhnow: Uttar Pradesh ke dar-ul-hukoomat Lakhnow ke Mumtaz Degree College may All India Muslim Personal Law Board ( AIMPLB ) ka ek ahem ijlaas munaqqid huwa. is Meeting may Ayodhya muamlay par Supreme Court ke faislay ke khilaaf nazar sani ki darkhawast dakhil karne ka elaan kiya gaya hai. sath hi AIMPLB ne ye bhi faisla kiya hai ke Masjid ke liye 5 aekar araazi ko kisi mutbadil jagah par qubool nahi karna hai, kyun kay ye Islam ke usoolon ke khilaaf hai.

Muslim Personal Law Board ki Working Committee ka maz korah ijlaas, Board ke sadar Maulana Syed Rabey Hasani Nadwi ki sadarat may munaqqid huwa. is ijlaas may Supreme Court ke Ayodhya faislay ke 10 nukaat par tabadlah khayaal kiya gaya.

All India Muslim Personal Law Board (AIMPLB ) ke Senior rukan aur All India Babri Masjid Action Committee ( AIBMAC ) ke Convenor Zafaryab Jeelani ne kaha ke ye  muqadma tamam musalmanoun ki janib se adalat may dair kiya gaya tha aur Board, is baradri ke jazbaat ki numaindagi kar raha hai, jo apne aaeni haqooq ko istemaal karna chahta hai aur nazar sani ki darkhwast dair karen.

Zafaryab Jeelani ne ek sawaal ke jawab may kaha Senior wakeel Rajeev Dhavan un ke wakeel ki hesiyat se jari rahenge aur wo 9 November ko anay walay faislay ke 30 din ke andar darkhwast daakhil karne ki koshish karen ge. UP Sunni Waqf Board ke Chairman Zafar Farooqi ne pehlay kaha tha ke wo nazar sani ki koi darkhwast daakhil nahi karenge.

Taham, Board ke ijlaas may shirkat karne walay jamiat ulmaye Hind ke sadar Arshad Madani ne Media numaindoun ko bataya ke unhoun ne nazar sani ki darkhwast dair karne ke faislay ko manzoori di hai. agar chay, hamay ziyada umeed nahi hai aur hum jantay hain ke darkhwast kharij kar di jayegi phir bhi hum nazar sani ki darkhwast dair karenge. ye hamara hak hai.

Babri Masjid ke muddai Iqbal Ansari ki nazar sani ki darkhwast daakhil karne se inkaar par radd amal zahir karte hue Jeelani ne kaha ke Board apne aaeni hak ko istemaal kar raha hai aur is muamlay may koi siyasat nahi hai. unhoun ne kaha ke zilai intizamia ki taraf se shayad Ansari par dabao dala ja raha tha ke wo nazar sani ki darkhwast daakhil na karen. Board ke terjmanan ne kaha ke Supreme Court ka faislah khud ikhtalafi hai. ”Aadalat ne is haqeeqat ko qubool kar liya hai ke is jagah par Namaz ki peshkash ki gayi thi aur ye moorti 22-23 Decemeber 1949 raat ko is jagah par zabar dasti rakhi gayi thi. Supreme Court ke Judges ne bhi is haqeeqat ko nazar andaaz kiya ke Waqf qawaneen ke tehat, Masjid ki jagah muntaqil nahi kiya ja sakta. aur masmaar shuda Masjid ke gunbad taley kisi bhi mandir ka koi saboot nahi hai.

unka kehna tha ke unhoun ne mutabadil araazi ke liye muqadma nahi lada tha. Zafaryab Jeelani ne bataya ke zilai intizamia ke ohdedaroun ne Darul Uloom Nadawatul Ulama  may ijlaas roknay ki koshish ki thi,lihaza is jagah ko tabdeel kar na pada.

Mazkorah ijlaas may Senior qaideen Maulana Khalid Rashid Firangi Mahali, naib sadar Maulana Jalaluddin Rumi, khawateen Wing ki Asma Zahra , Board ke Secretary Maulana Wali Rehmani, AIMIM ke sarbarah Asaduddin Owaisi aur Jamiat ulmaye Hind ke sadar Maulana Arshad Madani moujood they. – YTN STAFF