Ayodhya: Babri Masjid ke inhedam ki 27 we barsi ke moqe par, Ayodhya mein muslim community 6 December ko ek baar phir ”yom-e-Gham“ ke tor par manaye gi, Muqami muslim rehnuma ne jummay ko ye baat bataaye. Pichlle 27 saloon yani 6 December 1993 se, Ayodhya mein muslim baradri, Haji Mehboob ki sarbarahi mein, Jo Babri Masjid case mein muslim fareeq ke ahem muqadma nigaroun mein se ek they, Aur muqami tanzeem” Anjuman muhafiz. Masjid-o-Maqabar ki janib se is din ko yom-e-gham ke tor par manaatay hain.
samajwathi Party ke rehnuma Azam Khan is se qabal kuch muqou par is programme mein shareek hue they. Haji Mehboob ne kaha ke wo 6 December ki subah ek ijlaas ka ihtimaam karen ge aur is mauqa par aala muslim rehnumao ko madoo karen ge, jenmien Asaduddin Owaisi aur Zafaryab Jeelani shaamil hain.
Muslim league aur muslim majlis jaisi deegar muslim tanzeemen bhi Babri Masjid ki shahade ke mauqa par mukhtalif ijlasoun ka ihtimaam karen gi. Taham Vishwa Hindu Parishad, Jo is din ku Shaurya Diwas “ke tor par manati hai, Ne is saal se is rivayet ko khatam karne ka faisla kiya hai. VHP ke markazi Secretary Purushottam Narain Singh ne kaha ke ”tanzim ab is din ku Shaurya Diwas “ke tor par nahi manaye gi kyun ke is mah ke shuru mein Supreme Court ke faislay ke baad Ram Mandir ki taamer honay ja rahi hai. -YTN STAFF