Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaAyodhya may ab Gaayi ke liye Coat banaye jayen ge

Ayodhya may ab Gaayi ke liye Coat banaye jayen ge

Ayodhya: Sardiyoon ka aaghaz hote hi, Ayodhya Municiple Carporation ne shehar ke mukhtalif panna hay gaahon may rehne wali gaayion ke liye Jute Coat kharidne ka faisla kiya hai. Ayodhya ke Nagar Commissioner Niraj shukla ne kaha ”ham gaayion ke liye coat banwanay ka mansoobah bana rahay hain. Is Scheme ko 3 4 marahil may laago kiya jaye ga, Pehlay hum Baishingpur gaayi ki panah gaah se shuru kar rahay hain, Jis may 700 Beloun sameit 1200 maweshi hain aur baqi gaayi aur bichhde hain. Hum ne shuru may bachdoun ke liye coatu ka order diya hai.

Shukla ne mazeed bataya ke pehli tarseel November ke aakhir may puhanche gi aur har gaayi ke coat ki qeemat 250 se 300 Rupiye hai. Bachdoun ke liye 3 parat ke Coat tayyar kiye ja rahay hain. Hum ne Jute Coat ke ilawa androoni parat may bachroun ke liye naram kapray istemaal karne ka mutalba kiya hai, Jo jism ko garmi faraham karta hai. Commissioner ne kaha ke Gaayi aur Beloun ke liye allag allag Design rakhen ge. Municiple Commissioner Director Shukla ne kaha phele 100 bachdoun ko Coat pahnaye jayen ge

Shukla ne kaha is ke ilawa gaaayion ko sardi se bachanay ke liye Gaoshalah may har jagah Bonfire roshan kiye jayen ge. Is ke ilawa tamam kamroun may pardoun ka bhi intizam kiya jaye ga. Janwaroun ko zameen par bethnay ke liye bhi mo-asar intizamaa kiye jayen ge. –YTN STAFF