Lacknow: Babri Masjid Ram Janam Bhomi tanaza case may faislay ke khilaaf Supreme Court may nazar sani ki darkhast daakhil karne Masjid ke liye 5 aekar araazi ko qubool karne ke barey may Uttar Pradesh Sunni Waqf Board ke Membroun may shadeed ikhtilafat peda hogaye hain. Membraun Board ke Chairman Zafar Farooqi ke Supreme Court ke faislay par nazarsani ke liye na jaane ke faislay par sawaal utha rahay hain.
Board ke senior membar Abdul Razzaq Khan ne kaha ke ”Chairman baghair kisi ijlaas munaqqid kiye, faislay kaisay kar satke hain. ye unka zaati nazriya ho sakta hai lekin Board ka faisla 26 November ko munaqqid hone walay ijlaas ke baad hi liya jayega.
Ek aur Board Membar, Imran Maqbool Khan , jo ek wakeel bhi hain, ne kaha ke wo jaiza lainay ke hak may hain. unhoun ne kaha ”agar All India Muslim Personal law Board ( AIMPLB ) Supreme Court may nazar sani ki darkhwast lekar ja raha hai, to Sunni Waqf Board ko bhi Muslim Community ke jazbaat ka khayaal rakhna chahiye.
Sunni Waqf Board 26 Novembar ko Supreme Court ke faislay ke baad apni hikmat-e-amli ka faisla karne ke liye ek ijlaas munaqqid kerega. Board ke Chairman Zafar Farooqi ne faislay ke din se hi mustaqil torpar kaha hai ke nazar sani ki darkhwast dair nahi ki jayegi. 3 deegar membraan, Abrar Ahmed , Mohammad junaid Siddiqui aur Adnan Farooq Shah is muamlay par Farooqi ki himayat kar rahay hain.
Board ke 2 naraz membraan, Abdul Razzaq aur Imran maqbool Khan ne ye bhi kaha ke Masjid ke liye 5 aekar araazi ki peshkash qubool nahi ki jani chahiye. Abrar Ahmed ne 5 aekar araazi ke talluq se un dono ke sath ittafaq kiya.
Adnan Farooq Shah ne kaha buhat se musalman mutabadil zameen qubool karne ke liye hum se rujoo karte hain. dosra masla ye hai ke agar isko qubool kar liya gaya to Masjid ki taamer ya rafayi maqsad ke liye istemaal kiya jayega, hum un tamam tajaweez par 26November ko baat karen ge.
Imran Maqbool Khan ne kaha Supreme Court ne qubool kiya ke ye Masjid 1528 may taamer hui thi, lehaza is ka wujood saabit hai. 1949 may usay hata diya gaya tha aur 1992 may usay masmaar kiye jaanay ko bhi qubool kiya.
Abdul Razzaq Khan ne kaha Allah ke ghar ke liye mutabadil zameen ko qubool nahi kiya jana chahiye, is hukum par bhi nazar sani ki jani chahiye“. Board ke sar barah Zafar Farooqi ne apni taraf se kaha ke 5 aekar mutabadil araazi ki qismat ka faisla 26 November ke ijlaas may kiya jayega. Board ko mutabadil araazi ke istemaal se mutaliq mutadid mashwaray masool hue hain, un par tabadlah khayaal kiya jayega, un mashwaroun may Hospital ya taleemi idaara qaim karne jaisay nazriaat shaamil hain. –YTN STAFF