Lacknow: Pichlle dinon Supreme Court ne Ayodhya muqadma par apna faisla sunea hai, Sunni Waqf Board ke Senior wakeel Zafaryab Jeelani is faislay se mutmayin nahi hain aur nazar sani ki darkhwast dair karne ka iradah kar rahay hain. Zafaryab Jeelani ne kaha ke Supreme Court ke 5 Judges ka ye faisla hatmi nahi hai.
Jeelani ne ek Interview may kaha Supreme Court pehlay hi un 5 Judges ke ek darjan se ziyada faisloun ko kaladam qarar day chuki hai. unhoun ne kaha ke 13 Judges par mushtamil bench tashkeel diya gaya hai. Supreme Court kabhi nahi kehti ke 5 Judges ka faisla hatmi hai aur usay qubool karna hoga. jo loog qanoon ki tareekh nahi jantay hain, inhen nazar sani ki darkhwast dair karne par herat zada ho na chahiye.
Ek sawal ke jawab may unhoun ne kaha mera tehreeri bayan hai ke hum Supreme Court ke hatmi faislay ko qubool karen ge, lekin jo faisla aaya hai wo hatmi faisla nahi hai. Article 137 ke tehat ijazat hai ke, jo faisla se mutmaeen nahi hai wo nazar sani ki darkhwast dair kar sakta hai.
Jeelani ne is Case ki 2 zimma daryoun yani Sunni Waqf Board aur Muslim Personal Law Board aur Ayodhya ke musalmanoun ka hawala dete hoe kaha dusru ko bhi is muamlay par apni raye daine ki zaroorat nahi hai. Masjid ke liye 5 aekar araazi ko tabdeel karne ki tajweez Shariat ke khilaaf hai. Islami Shariat iski ijazat nahi deti hai. Waqf Act bhi yahi kehta hai. Supreme Court Masjid ki araazi ko tabdeel nahi kar sakti. Article 142 ke mutabiq, ye kisi bhi idaray ke khilaaf nahi ja sakta.
Sunni Waqf Board ki janib se nazar sani ki darkhwast daakhil na karne ka hawala dete hue Jeelani ne kaha agar hum apne muamlay par nazar sani ki darkhwast dayer kar satke hain ya nahi isse koi farq nahi padta hai. agar Sunni Waqf Board ko nazar sani ki darkhwast ke khilaaf jana hai to jayen, is may koi jamaat kuch nahi kar skti“.
Yeh bayan karte hue ke Muslim Personal Law Board ke kuch membraan is muamlay par nazar sani ki darkhwast daakhil karne ke hak may nahi hain, Jeelani ne kaha ke har jamhoori nizam may kuch ikhtilafat paye jatay hain. Jeelani ne kaha ke kuch padhay likhay Musalman kehte hain ke ye maamla isse pehlay hal hojata to itna lamba na hota, aisay loog sirf Drawing Room may baith kar hi mashwaray day satke hain. hum apna kaam Dayanat daari se kar rahay hain. hum 1986 se ye jung lad rahay hain. Asaduddin Owaisi ke walid Sultan Salahuddin Owaisi ne bhi is ladai may hamari madad ki hai“. unhoun ne kaha Ayodhya se mutaliq nazar sani ki darkhwast 9 Decemeber se qabal dair ki jaye gi. –YTN STAFF