New Delhi : Sunni Waqf Board ke wakeel aur Senior advocate Rajiv Dhawan nay jumeraat ko Supreme court ko bataya ke inhen aur unke clerk ko Ayodhya araazi tanaza case mein muslim jamaatoun ki numaindagi karne par dhamkian mil rahi hain.
Adalat mein mazkoorah case ki samaat ke douran Rajiv Dhawan nay adalat ko bataya ke aye hafta qabal inhen Facebook par dhamki amaiz paegham masool hua tha ke ”woh inhen adalat ke bahar dekhenge “.
Dhawan nay adalat ko bataya ke UP mein ek wazeer nay kaha hai ke Ayodhya ka talluq hinduo se hai, mandir unka hai aur Supreme court bhi unki hai. aur kuch logon nay unse yeh bhi poocha ke woh kis ki taraf hain aur kiya woh dewata ( ram ) ke khilaaf hain. Dhawan nay adalat ko yeh bhi bataya ke chaharshambe ko kuch logon nay unke clerk ko Supreme court ke ahatay mein maara peeta. Dhawan nay kaha ke istarah ki cheezon se acha mahol nahi bana hai aur woh dabao mein hain.
chief justice Ranjan Gogoi nay Dhawan ko di jaanay wali dhamki par Shadeed mazammat karte hue kaha ke woh adalat ke bahar aisay tarz amal ki mazammat karte hain. Mulk mein aisa nahi hona chahiye. Gogoi nay kaha ke dono fariqain baghair kisi khauf ke apne dalail paish karne ke liye azad hain.
Is ke sath hi, adalat nay Rajiv Dhawan se poocha ke kiya woh security chahtay hain. jis par Dhawan nay kaha ke inhen security ki zaroorat nahi hai, unke liye adalti yaqeen dehani hi kaafi hai. –YTN STAFF