Monday, April 21, 2025
HomeIndiaAyodhya case ki Supreme court mein samaat mukammal, faisla mehfooz, November mein...

Ayodhya case ki Supreme court mein samaat mukammal, faisla mehfooz, November mein aayega faisla

New Delhi : Supreme court ke aaen bench ne chaharshambeh ke roz shaam 4 bajey ayodhya mein ram janam bhoomi babri masjid araazi tanaza case ki aakhri samaat mukammal karli. aur apna faisla mehfooz kar liya. Supreme court November mein apna faisla sunayegi. Chaharshambe ko adalat ki karwai ke aaghaz ke douran, Supreme court ne kuch doosri darkhwaston ki samaat se inkaar kardiya aur chief justice ranjan gogoi ne kaha ”yehi bohat ziyada hai, hum shaam 5 bajey uth jayenge. iske baad 40 din adalat mein samaat ka aaghaz hua.

Pehlay hinduo ne apne dalail pesh kiye aur uskay baad muslim fareeq ne apne dalail pesh kiye. samaat ke douran, muslim party ke wakeel Rajiv Dhawan ne hindu maha sabha ke wakeel vikas kumar singh ke zareya pesh kardah naqsha aur dastawizaat phaadh diya. cheif justice ranjan gogoi, justice SA Bobde, justice D Y Chandar, justice ashok bhushan aur justice S Abdul Nazeer ki aaeni bench ke samnay all India maha sabha hindu maha sabha ke wakeel vikas kumar singh ne kunaal kishwar ki kitaab ”Ayodhya visited pesh kiya, MR dhawan ne is par aiteraaz jataayaa aur adalat se darkhwast ki ke is kitaab ko record mein nahi laya jana chahiye. unhon ne kaha ke yeh kitaab haal hi mein likhi gayi hai aur usay saboot ke tor par pesh nahi kiya jasakta.

MR vikas kumar singh ne phir ek naqsha ka hawala diya, aur usay musalmanoun ke wakeel ko soumpa. MR dhawan ne is naqshay ko phaadh diya. is par cheif justice ne narazgi bharay lehja mein kaha ”kuch aur bhi phaad dijiye “. tabhi dhawan ne aur bhi dastawizaat phaadh diye. iske baad cheif justice ne kaha ke agar aisa he chalta raha to hum adalat se chalay jayenge.

Is ke baad samaat ke is aakhri din hindu aur muslim fareeqon ki janib se adalat mein garma garam behas bhi hui. aur dono fareeqon ne dalail pesh kiye. aakhir-kaar kaafi arsa se jari is tanaza par adalat ne samaat mukammal karlia, ab iska faisla November mein sunaya jayega. umeed ki jarahi hai ke faisla 17 November se qabal sunaya jayega, kyunkay cheif justice ranjan gogoi  17 November ko retire ho rahay hain. –YTN STAFF