Monday, April 21, 2025
HomeIndiaAyodhya Case : Hindu fareeq ke wakeel ne diya Daleel , namaz...

Ayodhya Case : Hindu fareeq ke wakeel ne diya Daleel , namaz kahin bhi ada ki jasakti hai

New Delhi : Hindu fareeq ne mangal ke roz Supreme court mein Ayodhya tanaza ki 39 din ki samaat ke douran paanch rukni bench par zor diya ke woh is tareekhi ghalti ko theek karen, jahan ek ghair mulki fateh ne ram ki jaye paidaiesh par ek masjid taamer ki thi.

Raam lalla virajman ki taraf se pesh honay walay senior advocate ke ne bench ke samnay Daleel di ke Ayodhya mein 50-60 masjidein hain, aur namaz kahin bhi ada ki jasakti hai, lekin yeh ram ki jaye paidaiesh hai, usay tabdeel nahi kiya jasakta. aur kisi ko bhi hindustan ki tareekh ko tabah karne ki ijazat nahi di jasakti. Ek ghair mulki hindustan aakar apne qanoon Nafiz nahi karsakta.

Wazeh ho-ke ayodhya maamla mein samaat aakhri marhala mein hai, aur jumeraat ko sabhi dalail ke sath samaat mukammal ki jayegi. –YTN STAFF