Monday, April 21, 2025
HomeIndiaAyodhiya Maamla Aakhri marhale mein daakhil, jald aeyega faisla

Ayodhiya Maamla Aakhri marhale mein daakhil, jald aeyega faisla

New Delhi : Ab jald hi ayodhiya muamlay ka faisla anay wala hai. Supreme Curt ney is case ki samaat ke liye aakhri tareekh 17 اOctober Muqarrar ki hai. aur faisla 17 November ko sunaya jayega, jis din Supreme Court ke cheif justice Ranjan Gogoi Retire ho rahay hain. rawan haftay samaat ke aakhri marhalay mein sunni waqf board ki janib se senior advocate rajive dhavan paish honge jo muslim body ki janib se is case mein apne dalail jari rakhay hue hain .

Rajive Dhavan musalmanoon ki taraf se bohat saaray dalail dyie hain. is ahem haftay mein, muslim partiyan cheif justice Ranjan Gogoi aur justice S A Bobde, ashok bhoshan, D Y Chandarchor, aur S A nazir ki sarbarahi mein paanch judges ke bench ke samnay apni hatmi peshkash kar rahi hain .

Muslim partiyon ki numaindagi karne walay 73 sala wakeel rajive Dhawan, is muamlay mein masroof qounsiloun ki kaseer tadaad mein se wahid wakeel hain, jinhoun naay do hafton se ziyada arsay taq is muamlay par behas ki hai. unhon naay hindu jamaat ki council ke zareya paish ki jaane wali har Daleel ka muqaabla kya .

Un ke ilawa deegar vakiloun ney hindu jamaaton ki janib se behas karte hue dalail paish kiye. Senior  wakeel K Prasran ney raam ki paidaiesh ki jagah par qanooni wujood ki hesiyat se behas ki. Senior advocate C S Vaidyanathan ney A S I ki report ke ekhtataam par Daleel di. Senior advocate P N Mishra ney islami qanoon par behas ki. aur Senior advocate sushil jain ney narmohi  akhadhh ke baray mein Daleel diya .

Hindu jamaaton ney mustaqil tor par istadlaal kya hai ke A S I  ki report, ke tehat masjid ke neechay hindu mandir ki baat ki, is par muslim Partiyoun ney kaha ke A S I  ki report mutazaad honay ka khadsheh hai aur safar naame mehez kahaniyan hain, jinhein ahem saboot nahi samjha ja sakta .

Tawaqqa ki jati hai ke dalail ke aakhri marhale par bench aur wukla ko donon firqoun ki taraf se shadeed radd e amal ka saamna karna padega. dhavon ney naye shawahid paish karkay hindu fareeq ke mashwaray ki sakhti se mukhalfat ki. aur jajoun ke salawon ka jawab diya. justice Bobde  ney dhavan se sawal kiya, Ilahiyat ko hindu mat ki taraf se mansoob kya ja sakta hai, lekin islam ko nahin, hum aap se pooch rahay hain ?. dhavan ney kaha ”masjid hamesha khudai hoti hai. Bobde ney kaha ”yeh Allah ke liye waqf hai Ilahiyath  kaisi.? dhavan ney kaha ”masjid mein paanch baar namaz parhte hain, to yeh ellahi  hai. dilchasp baat yeh hai ke dhavan wahid wakeel rahay hain jin ke dalail par jajon ne baday pemanay par inquiry ki hai.- YTN STAFF