Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaAwam Nawaz aur khauf se Azad siyasat ke 11 saal

Awam Nawaz aur khauf se Azad siyasat ke 11 saal

SDPI ki 11th yom-e-Tasees ke mauqa par party qaumi sadar MK  Faizi ka paegham


New Delhi
: Social Democratic Party of India ke 11th  yom-e-Tasees ke mauqa par SDPI qaumi sadar MK Faizi nay apne paegham mein kaha hai ke SDPI jo awam Nawaz aur khauf se azad siyasat ke maqsad ko lekar qayam ki gayi thi. aaj apni siyasi safar ke 11 saal uboor kar chuki hai.

Bharat mein tezi se badhta hua firqah waranah siyasat ka rujhan, oppostion partiyon ki mazoori aur secular tabqaat ki nakami ke tanazur mein SDPI ka aaghaz kiya gaya tha. “Bhook se azadi, khauf se azadi “ke naaray ke sath sath Bharat ko ab jin masail ka saamna hai unke liye party aawaz athati aa rahi hai.

Party ke samaji jamhooriat ke siyasi tasawwur ki moujooda halaat mein bohat ziyada mutabqat hai. aaj mulk mein jamhoori nazriaat ko majrooh Kiya jaraha hai. aaeni idaray ek ek karkay firqa parast fashzm ke hawalay ho rahay hain. adaltein jinko awam apni aakhri umeed ki nigah se dekthay rahay hain unko bhi –apne qaboo mein laane ke liye fastai taqaten barri taizi se koshishen kar rahay hain.

Delhi aur Uttar pardesh mein honay walay muslim mukhalif fasadaat mein dekha gaya ke RSS aur singh pariwaar ke zariye kiye gaye mansoobah band fasadaat ki hukoomat sarparasti kar rahi thi. sarkari machinery qusurwaron ko har tarhan ki madad faraham karne ke alawa, mutasirah afraad ke khilaaf muqadmaat darj karne aur unko nazar band karne ki koshish kar rahi hai.

Aaj mulk ko bad-tareen muashi bohraan ka samna hai, azadi ke baad ke hindustan mein aisa khbi nahi hua tha. bunyadi tor par ek zarayi mulk honay ke bawajood Hindustan ka zarayi shoba mukammal tor par dhair ho chuka hai. hukoomat ke paas isko bachanay ya pedawari shobay ko fa-aal bananay ka koi mansoobah nahi hai. ye mamool ka manzar hai ke khana aur pani muyassar nah honay ki wajah se mohajir mazdoor sadak ke kinare mar rahe hain. un mazdooron ko unke huqooq se inkaar Kiya gaya hai.

Aisay mein hukoomat corporate ko arbon rupiye ki chhooth dey rahi hai. sara sarkari shoba farokht ke liye rakha gaya hai. na sirf hamari matti, balkay zameen bhi bechi jarahi hai. markazi hukoomat mulk ki paedawari salahiyat ko mo-asar tareeqay se istemaal karne ke bajaye Public sector ko farokht karne wali ek Real Estate company ka kirdaar ada kar rahi hai. Hindustan kisanoun ki khudkushi, be-rozgari, mehengai, faqa kashi, muflisi waghera ke record toad rahi hai.

Poori duniya corona wabai marz se ladnay ke liye hukoomati satah par wasee tar intizamaa kar rahi hai, lekin hindustani hukoomat is ke firqa waranah agenday ke khilaaf khadey honay walay logon ke shikaar par tawajah dey rahi hai. insani wasail ke lehaaz se dosra bara mulk honay ke bawajood hukoomat ne covid-19 se logon ko bachanay ke liye koi mo-asar mudakhlat nahi ki hai.

Lekin iske bajaye kuch mazhaka khaiz elanaat kar rahi hai. oppostion itni kamzor hai ke na to woh koi sawal kar sakti aur na hi koi mutabadil laskti hai jabkay mulk ko ek shadeed bohraan ka saamna hai. un mein se beshtar ya to firqa waranah fashzam ke shikaar hochukay hain hain ya lalach mein unke paas apne aap ko rehan rakh chuke hain

SDPI ek aisi policy ko barqarar rakhay hue hai jo mulk ko taqseem karne wali hindutva fashzm se nah samjhota nahi karti hai aur nah hi unke samnay jhukti hai. pichlle 11 saal is ke gawah hain. mujhe apne sathiyon aur haamiyan ko yeh batana hai ke ab mulk mein hamari siyasi zimmedaari badh gayi hai.

Pichlle 11 saal mein hum nay sirf intikhabi siyasat nahi ki hai ke balkay pasmandah aur imtiazi slow k ke shikaar logon ke khauf aur bhook ko door karne ki sar garmion mein bhi masroof rahay hain. SDPI bohraan mein phansay logon ki madad aur imdadi sar garmion ke zariye daqyanoosi siyasi sar garmion ko khatam karne mein kamyaab rahi hai. iske alawa fashzm ke khilaaf datt kar muqaabla karna SDPI ki munfarid pehchan hai.

SDPI ke 11th yom-e-Tasees ke mauqa par mein aap ko dili mubarakbaad pesh karte hue aap se guzarish karta honke ek naye Hindustan ki taamer ki koshish mein aap tamam party ka bhar poor sath den. –YTN STAFF