Saturday, May 11, 2024
HomeIndiaAwam ko Notices, Supreme Court ki Uttar pardesh hukoomat ko jawab dainay...

Awam ko Notices, Supreme Court ki Uttar pardesh hukoomat ko jawab dainay ki hidaayat

New Delhi: Supreme Court ne shehriat tarmeemi qanoon ke khilaaf honay walay ehtijaj ke douran awaami amlaak ko nuqsaan pohanchanay ke khilaaf Uttar Pradesh reyasti intizamia ki janib se nuqsanaat ki pabajaye ke liye awam ko beje jaaney walay Notice par sunwayi ke liye ittafaq karliya hai aur is ne Uttar Pradesh hukoomat ko jawab dainay ki hidaayat di hai.

Justice D.V Chandrachud aur K. M. Joseph par mushtamil bench ne Uttar Pradesh hukoomat ko Notice jari ki aur hidaayat di ke 4 haftoun ke douran jawab daakhil karen. Supreme court ne aaj ek arzi par sunwayi ki jis mein kaha gaya ke Uttar Pradesh hukoomat ki janib se jo Notices jari ki gayi hain wo na qabil feham hain aur mann maani hain kyun ke iss mein ek aisa fard bhi shaamil hai jis ka 6 baras qabal 94 baras ki omar mein intqaal hochuka hai aur ab Uttar Pradesh hukoomat ne is marhoom shakhs ke khilaaf Notice jari ki hai jabkay jin afraad ko Notices jari ki gayi hain in mein 2 aisay afraad bhi shaamil hain jin ki umrein 90 baras se ziyada hain. Parvez Arif ne kaha hai ke ye notices Allahabad High Court ke faisla par mabni hain jo kay us ne 2010 mai diya tha.

Wakeel ne kaha hai ke reyasti hukoomat ne ek Additional District Magistrate ka taqarrur kiya hai taakay wo shehriat tarmeemi qanoon ke khilaaf ehtijaj ke douran honay walay nuqsanaat ki awam se pabajaye ka maamla dekhe lekin sabukdosh Judge ne Supreme court ke rehnumaiyana khutoot ki pasdari nahi ki. Uُnhoun ne mazeed kaha kay iss faislay mein Supreme Court ke rehnumaiyana aُsol ki pabandi nahi ki gayi hai. –YTN STAFF