Thursday, May 9, 2024
HomeSliderAwam ka dil jeetnay ke liye KCR ki nai falahi mansoobon par...

Awam ka dil jeetnay ke liye KCR ki nai falahi mansoobon par tawajjah markooz

Hyderabad: Isharay ye hain ke TRS supremo aur chief minister KCR un-thak mehnat karne mein masroof ho chukay hain taakay ek baar phir Telangana raye dahindgaan ka dil jeet liye jayen jiske liye wo nai falahi schemes waza kar rahay hain, kyunkay kaha ja raha hai ke awam ne TRS ko vote dainay walay mojooda schemes par etemaad kho diya hai. haliya dubbak assembly intikhab aur is ke baad GHMC intikhabaat mein BJP ke hathon TRS ko jo shikast hui hai is ke baad KCR nai schemes par kaam karna shuru kardiya hai.

Is saal May mein, KCR ne elaan kiya tha ke wo do hafton ke andar kisanon ke liye ek nai scheme shuru karenge jo poori qoum ko khushgawar herat mein mubtala kardeygi aur unhon ne kaha ke nai scheme ke liye maali tareeqon par bhi kaam kiya gaya hai, lekin saat mah guzar jane ke bawajud is nai scheme ki naqaab kushai nahi ki gayi. Khayaal kiya jata hai ke KCR ab is per scheme ko dobarah kaam kar rahay hain. Ek wajah yeh bhi hosakti hai ke is waqt modi hukoomat ke kisaan mukhalif qanoon se sara Hindustan gham wo gussa mein mubtala hai lehaza KCR Telangana mein aisi scheme muta-arif kar saktay hain jis se saaray Hindustan ki nazrain hamari riyasat par markooz ho jaien.

Rythu Bandhu , Rythu beema , shadi mubarak, kalyana laxmi, aasra pension, KCR kits waghera ki TRS hukoomat ki flagship welfare schemes ne TRS ke liye fatah aur dosray miyad par kamyabi ko yakeeni banaya hai, taham haliya dubbaka aur GHMC intikhabaat mein yeh schemes party ko kamyabi dilwanay mein nakaam rahi hain. aisi party ke liye jo apni falahi mansoobon ke takhtay par tamam intikhabaat lardte hai jo KCR ne guzashta 6 barson ke douran muta-arif kiya hai lekin ab haliya dubbaka zimni intikhab aur GHMC intikhabaat ke nataij heran kin rahay.

Party ke GHMC intikhabi muhim ki qayadat karne walay KCR ke sath sath unke betay KTR ne TRS falahi schemes par roshni daali aur unki bunyaad par vote mangay. un falahi mansoobon par unka etemaad aisa hi tha ke unhon ne dubbaka mein intikhabi muhim chalanay ki zahmat tak nahi ki. KCR ne GHMC intikhabaat ke liye bhi intikhabi muhim chodi sirf LB stadium mein ek jalsa kiya woh bhi intikhabi muhim ke ekhtataam par hua. yahan bhi unhon ne TRS falahi schemes par roshni daali aur vote mangay lekin nataij mein umeed ke bar-ghilaf hi rahay aur ab raye dahindgaan ko TRS falahi scheme mein koi dilchaspi nahi rahi aur woh party se ziyada tawaqqa kar rahay hain.

TRS hukoomat ne falahi mansoobon par sarkari khazanay se lag bhag 60,000 crore rupaye kharch kar rahi hai, jiski madad se usay mukhtalif tabqaat ke mabain thos vote bank tayyar karne mein madad mili. taham, haliya dhakkon ne TRS hukoomat ke un falahi mansoobon par amal ke bawajood BJP ko is vote bank ko roknay ka challenge bhi darpaish hai. shadi mubarak scheme ki madad se puranay shehar mein municiple division ki kuch nishistain haasil karne ke liye TRS ko apne vote ka hissa badhaane par bohat ziyada umeed thi, jiske tehat is ne musalman khandano ko apni betyon ki shadi ke liye 1,00,116/ rupay fraham kiye hain. sirf puranay shehar mein kayi laakh muslim khandano ne is scheme se faida uthaya hai aur umeed ki jarahi thi ke is scheme ke tehat shayad puranay shehar mein is ki nishiston ki tadaad badhaygi lekin aisa nahi hua balkay umeed ke bar-aks usay AIMIM aur BJP ke baad teesra maqam mila jo kay hukmaran jamaat ke liye kaafi mayoos kin nateeja raha. yeh batanay ki zaroorat nahi puranay shehar mein BJP ke voton ke hasas mein numaya izafah hua hai jabkay TRS ke vote mein taizi se kami aayi hai. Is pas manzar mein KCR mojooda falahi schemes ko mazeed purkashish bananay ke liye un mein tarmeem aur islaah ka mansoobah bana raha hai aur is tarhan aindah intikhabaat mein raye dahindgaan ko TRS ki simt Raghib kiya jasakay.