Saturday, May 4, 2024
HomeLatest NewsAwaami Muft Wifi, Hackers Ka Aasan Nishana, Istemaal Karne Se Pehlay Sonch...

Awaami Muft Wifi, Hackers Ka Aasan Nishana, Istemaal Karne Se Pehlay Sonch Len

Hyderabad : Awaami muqamat par dastiyab muft WiFi intehai khatarnaak saabit ho sakta hai kyunkay aisay WiFi ke muft internet se marboot honay ke baad awaami data Hackers ka asan nishana bantaa hai. pesha waranah afraad sayah aur aam shehri bhi aksar awaami muqamat par dastyab muft WiFi se –apne laptop aur smart phone marboot karte hain kyunkay mobile ke data ki bah nisbat taiz raftaar WiFi ka istemaal karte hue woh apni daftari aur shakhsi masrofiyat ko jald se jald niptasakte hain .

Roos se talluq rakhnay wali Software security company Caspera Sky naay apni taaza tareen report mein wazeh kiya hai ke 70 feesad tablet istemaal karne walay aur 53 feesad smart phone istemaal karne walay afraad awaami muqamat  ke WiFi ko istemaal karte hain aur yeh Wifi railway stations, Airports ke alawa maal, Coffe shop, Hotels, conference hall, aur deegar awaami muqamat  par bhi dastyab hotay hain lekin awaami muqamat  par faraham ki jaaney wali muft WiFi sahuliyaat mein Aala darjay ki security intizamaa nahi hotay aur nah hi is ke zariye kiye jaaney walay rawabit mein data ke liye Encryption ka koi behtar intizam nahi hota lehaza aisay muft WiFi ke zariye internet istemaal karne walay sarfeen Hackers ka aasan nishana ban jatay hain jo un ki shakhsi maloomat ke alawa bank ke details , account ki tafseelaat, password, tasaveer aur deegar ahem mawaad ka surqa kar lete hain .

Yeh surat-e-haal is waqt mazeed sangeen ho jati hai jab koi fard ek mulk se dosray mulk daftari umoor ki takmeel ke liye safar karta hai aur jaisay hi dosray mulk mein daakhil hota hai to woh awaami muqamat  ki muft WiFi sahoolat se istifada karne lagta hai to is ke liye khatraat bohat ziyada badh jatay hain aur ek martaba jab is ka ahem mawaad chori hojata hai to woh meizban mulk mein shikayat bhi aasani se darj nahi karwaskta kyunkay is waqt duniya bhar mein koi ek aur munazzam data ki hifazat ke liye aalmi qanoon nahi hai. cyber jaraim ke mahireen Hackers awaami WiFi se marboot honay walay afraad ko apna asan nishana banatay hain, lehaza awam ko khabardaar kiya gaya hai ke woh awaami muqamat  par dastyab WiFi ka istemaal karte waqt ziyada chokanna rahen aur koi hassas mawaad ya tafseelaat ki husool tarseel ke waqt pehlay apna shakhsi itminan haasil kar len.

 

 

 

 

Y THIS NEWS STAFF