Friday, March 29, 2024
HomeSliderAvani lekhara gold medal jeetne wali pehli Hindustani khiladi

Avani lekhara gold medal jeetne wali pehli Hindustani khiladi

Tokyo: Nishaane baaz Avani lekhara Para Olympics games mein gold medal jeetne wali pehli Hindustani khatoon khiladi ban gayi hain. 19 sala ladki ne Tokyo olompics mein gold medal jeeta jo Tokyo 2020 mein Hindustan ka pehla gold medal hain. Khawateen ki 10 meter air rifle mein Monday ko final mein 249.6 ke aalami record score ke saath unho ne yeh sunehri kamiyabi hasil ki.

Para Olympic games mein shooting mein Hindustan ka yeh pehla gold medal hain. Majmooyi taur par woh teeraki Murli Kant peter (1972) barchi phekne wale Devender Jha (2004 aur 2016) aur high jumper thanga welu maripan (2016) ke baad para olompic gold medal jeetne wali chauti Hindustani khiladi hain.

Dar haqeeqat awani Olympics ya para Olympics mein gold medal jeetne wali pehli Hindustani khatoon athlete hain. 2016 ke rewieu mein Deepa malik ne silver medal aur para table tennis ki khiladi bhuwena patel itwar ko para Olympics mein Hindustani khawateen khiladiyon ki behatreen koshish thi. aAawa azeen PV Sindhu aur Meera bai Chanu ne Olympics mein Hindustan ke liye silver medal jeete hain.

Pminister Narendra Modi shooter ko mubarak baad dene wale pehle logon mein shamil rahe unho ne tweet karte huwe gold medal jeetne per mubarak baad di aur kaha ke jo sunehri kamiyabi hasil ki woh aap ki mehnat aur shooting ke jazbe ki wajeh se mumkin huwi. Yeh Hindustani khailon ke liye ek khaas lamha hai aap ki musataqbil ki koshishon ke liye Naik khawishaat.

Hindustani 19 sala awani jinhe 2012 mein ek car hadse mein reed ki haddi ke zaqam aaye unho ne final ke liye satvi muqaam se cualify kiya lekin final mein hi pehli elimination sireis mein 7 shooters ko chalang lagane ke liye shandar kargardegi ka muzahira kiya aur kabhi peeche mud kar nahi dekha.. china ki zaang coping ne silver medal jaisa ke unho ne reweiu 2016 mein bhi silver medal haasil kiya….silver medalist ne 248.9 ka score banaya jabke yokreen ki arena shatenk ne 227.5 ke saath brounce medal jeeta.