Saturday, May 18, 2024
HomeSliderAustralia West Indies Series multawi, IPL ki rukawat daur

Australia West Indies Series multawi, IPL ki rukawat daur

Melbourne: Cricket Australia ne West Indies ke  khilaaf rawan saal October mein mujawaza 3 matches ki T20 series ghair muayana muddat ke liye multawi kar di hai jis se Australia aur West Indies khiladion ke IPL mein mukammal tor par khailnay ka rasta saaf hogaya hai. Ye faisla dono boards ki baat cheet mein liya gaya. Rawan saal October ke shuru mein Australia aur West Indies ke mabain 3 Matches ki T20 series kheli jani thi. Ye muqablay 4,6 aur 9 october ko honay thay.

Dono mumalik ke mabain T20 series International Cricket council ( ICC ) T20 world cup se bilkul pehlay honi thi lekin coronavirus ki wajah se ICC ne Tournament aglay saal tak multawi kardiya. Australia aur West Indies ke mabain series multawi honay se barah-e-raast IPL ko faida hoga. IPL ka 13 wahn season 19 September se 10 November tak UAE mein munaqqid hona hai. Australia aur West Indies ke bishtar kheladhi IPL mein hissa letay hain aur mumkin hai ke dono ke darmain T20 series multawi karne ki ye ek wajah ho.

Sri Lanka cricket ny kaha hai ke wo Lanka premier league ki tarikhon mein mamooli tabdeeli kar sakti hai taakay Tournament IPL se nah takraye. Qabil zikar baat ye hai ke Sri Lanka ke Lasith Malinga Mumbai Indians aur Royal Challengers Banglore ki taraf se khailtay hain aur ye dono IPL ke moahida karne walay khiladi hain. Darin Isna Australia ke mehdood overs ke leye England ke doray ka bhi 15 September tak khtama mutawaqqa hai. Is terhan se dono mumalik ke khiladion ko IPL mein hissa lainay mein koi pareshani nahi hogi aur IPL ka kisi bhi series tassadum nahi hoga. Taham BCCI ne abhi tak is Tournament ke liye qawaid aur sharait jari nahi kiye hain.