Wednesday, May 15, 2024
HomeLatest NewsAustralia ne England ko pehlay ODI mein 19 runs se shikast di,...

Australia ne England ko pehlay ODI mein 19 runs se shikast di, Sam ki century raegaa

Manchester: Mitchell Marsh  ( 73 )  Glenn Maxwell  ( 77 ) ki umdah nisf Centuries aur Adam Zampa ke 55 run par 4 wicketon ke sath Josh Hazlewood 26 runs par 3 wicketon ki shandaar karkardagi ki badolat Australia ne England ko pehlay ODI mein 19 runs se shikast day kar 3 matches ki series mein 1-0 ki bartari haasil karli. Toss harnay ke baad pehlay batting karte hue Australia ney Marsh ki 100 gaindon 6 chowkun ki madad se 73 aur Maxwell ki 59 gaindon par 4 chowkun aur 4 chakkon ki madad se 77 runs aur un ke mabain chhutti wicket ke liye 126 run ki shiraakat ki badolat 50 over mein 9 wickets par  hadaf ka taqub mein England ki team ko Sam Billings ki 110 gaindon mein 14 chowkun aur 2 chakkon ki madad se 118 run ki century inning aur  Jonny Bairstow ki 107 gaindon mein 4 chowkun aur 4 chakkon se 84 runs ki nisf century bhi match nahi jeeta saki aur England 50 Over mein 9 wicket par 275 runs hi bana saka. Hazlewood ko un ki shandar bowling ke liye player of the match muntakhib kiya gaya.

Australia Inning mein Marsh aur Maxwell ke ilawa Marcus Stoinis ney 43, Marnus Labuschagne ney 21, Captain Aaron Finch ney 16 aur David Warner ney 6 runs ki shiraakat ki jabkay Mitchell Starc19 runs bana kar not out rahay. England ki janib se Jofra Archer ney 10 overs mein 57 aur MA Wood ney 10 overs mein 54 run wickten haasil kee. Adil Rasheed ney 55 runs day kar 2 aur Chris Woakes ko 59 runs par ek wicket mila.

England ki inning mein pehlay Bairstow aur phir Sam ney team ko jeet dilanay ki bharpoor koshish ki lekin woh kamyaab nahi hosakay. England ki taraf se captain Morgan ne 23, Chris Woakes 10 Jisn raye ney 3 aur Joe Root ney ek run banaye Australia team ke liye Zampa ney 10 overs mein 55 runs par 4 wickten, Hazelwood ney 10 overs mein 26 runs day kar 3 wickten, Pat Cummis ney 74 run aur Marsh ney 5 overs mein 29 runs day kar ek wicket haasil ki.