Tuesday, April 30, 2024
HomeAjaayeb wo GaraayebAustralia mein Strawberry se niddles baraamad

Australia mein Strawberry se niddles baraamad

Australia mein Strawberries se purasraar aadhi soyyan (silver rod) nikalney lagien jis se sahehri khaufzadah ho gaye hain, mehakuma sahet ney awam se Strawberries istemaal nah karne ki appeal kar di. Australia ki riyasaton Queensland, New Southwales aur Victoria mein Strawberries se niddles nikal aayen, jis ke baad mehakuma sahet ney shahrion se appeal ki hai ke woh pahelay se khareedi hui Strawberries istemaal na karen. Niddles nikalney ke waqeye ke baad mutaliqa dono brands ney market se maal wapas mangawa liya hai. Police ney waqeye ki tehqiqaat shuru kar di hain, niddles wali strawberry khanay se 1 shakhs ko hospital bhi jana para .
Queensland Police ka kahena hai ke maghribi Brisbane ki aik supermarkt mein Strawberry phalon ki aik tokri mein aik chubhai huvi nisf suyi dastyab honay ke baad woh aik mushtaba ”copycat” waqea ki tehqiqaat kar rahi hain. ”Copycat” aik istilaah hai jo pur-tashaddud qatal ya khudkushi ke talluq se sansani khaiz tashheer ke liye istemaal ki jati hai jis ke nateeja mein waisay hi tasaworati kahaniyan ghadi jati hain. Police is mujrim ki talaash mein hai jis ney Strawberry mein silai machine ki soyyan chuboyi  hain. Strawberry mein se silver rods nikalney ki khabar aam honay ke sath hi mumlikat ke Chief Medical Officer ko yeh mahswara dena pada ke Strawberry ke istemaal mein ahtiyat ki jaye. Police ney bataya ke Koles ke aik mulazim ney apne kaam ki jagah se khareeday gaye Strawberries ki tokri mein silai soyi dekhi. Yeh Strawberries ke oopri hissa mein chuboyi hui theen. Aik Police ohdedar ney awam se khwahish ki ke woh apni Strawberries mein kuch bhi ghair mamooli cheez dekhen to woh Police ko ittila dein ya phone par aagah karen. Aik kisaan ney kaha ke is mausam mein jo hamaray liye pahley se hi kuch aaccha nahi hai, is tarha ke waqiaat ki baday paimana par tashheer ke nateeja mein hamara kaarobar thap hokar rah jaye ga. Police ney Strawberries mein soyyon ke paye jany ke mutadid waqeat ki tauseeq karte hue kaha ke mangal ke din Gladstone mein aik bacha school ko Strawberries le kar gaya tha aur jab is ney chhery ko khaya toh iss ke moonh mein soyi chubh gayi. Angela Stevenson nami khatoon ka kehna hai ke woh apne bacha ke liye Strawberry ko moonh mein chabaya toh iss ney paaya ke Strawberry ke andar soi chuboiy huvi hai. jis par is ney fauri school ko phone kar ke aagah kardiya ke un ke bacha ke tiffin mein Strawberries hain aur is ko prkha jaye. phone karne ke 5? minute baad school se inhen phone aaya ke aap ney der kar di aur bataya ke aap ke bacha ney is Strawberry ko chaba liya jis mein soi chuboiy hui thi. Khush qismati se is ney mun se woh soi nikaal li aur apni teacher ko aagah kiya.