Friday, May 17, 2024
HomeSliderAustralia ke jungle mein lagi aag, Cheel shak ke dairay mein

Australia ke jungle mein lagi aag, Cheel shak ke dairay mein

Melbourne: Australia mein guzashta chand haftoun se khatarnaak aag ne zindagi dobhr kardi hai aur jungle ki is bhayanak aag ke baais mutadid jani o maali nuqsaan bhi ho chuka hai jabkay taqreeban 48 crore janwar bhi zindagi ki baazi haar gaye hain is khofnaak aag ke baais 30 lakh ayker raqba bhi jal kar raakh hogaya hai, Taham science daan ne inkishaaf kiya ke Australia mein lagni wali aag darasal ek Cheel ki karstani hosakti hai. Jee haan Cheel ki karstani !

Tafseelaat ke mutabiq Australia mein science daano ne inkishaaf kiya hai ke mulk mein jari atishzadgi ki sab se badi wajah Cheel hosakti hai. Science danoun ne kaha hai ke is ka bunyadi sabab ye hai ke ye parindah danista tor par aag phelanay par kamar basta hojata hai. Is maqsad ke liye Cheel jalti hui choti si chingari ya kisi shaakh ko mun mein daba kar usay kisi dosray maqam par jhadioun waghera mein pheink deti hai.

Darjanoun janwar isi noiyat ki harkat karte hain jis se aag deegar maqamat par teezi se phail jati hai. Maamla post ki gayi video mein achi terhan se mulahiza kiya ja sakta hai. Sydney university ke science daano ke mutabiq zameen par onche jhadiyan aur darakht Cheel ko apne shikaar par nazar daalnay ki raah mein haail hotay hain. Lehaza is maslay ko hal karne ki gharz se Cheel jhadioun ko jala daalnay ki policy par amal karti hai. Is terhan wo apni shikaar mein haail honay wali tamam jhadioun aur deegar poudoun ko jala kar khakstar karne mein ahem kirdaar ada karti hai. Ab yahan gumaan kiya ja raha hai ke Australia mein lagi aag kisi Cheel ki karstani hosakti hai. –YTN STAFF