Thursday, April 25, 2024
HomeExclusiveAurangzeb par Seminar aur Exhibition

Aurangzeb par Seminar aur Exhibition

Hyderabad. Aik aysey daur mein jab nafrat ka mahol hai aur Aur Moghal Shenshah Aurangzeb ko munafirat ki alamat ke taur par paish kiya jata hai chand Hyderabadiyon ney juraat ka muzahira karte huwe Aurangzeb ki yaum-e-paidayesh ke 400 saal par aik do roza International Seminar & Exhibition ka ihtemaam karne ka faisla kiya hai taakay is Badashah ke baray mein paayi jaany wali ghalat fehmiyon ka azaala kiya jasakay aur un ki haqeeqi tasweer ko ujagar kiya jasakay. Mumtaz Mahir Assaar e Qadima o tareekh daan janab Mohammad Safiullah ney bataya ke Mughal Shenshah Aurangzeb Alamgir ki paidayesh 3rd November 1618 mein huwi jis ki munasibat se hum ney faisla kiya hai ke is azeem Badashah ki 400 ween saalgirah ka Hyderabad mein ihtemaam kiya jaye. Is khusos mein do roza Programme Salar Jung Museum mein rakhney ka iradah hai jis ke liye Museum ke hukkaam se baat cheet ki jarahi hai. Iss do roza Programme mein aik International Seminar bhi rakha jaye ga jis mein Mulk aur bairon Mumalik ke mumtaz morkhin aur scholars ko madoo kiya jaye ga. Iss mauqa par aik exhibition ka bhi ihtemaam kiya jaye ga jis mein un ki naadir tasaveer ke alawa Farameen rakhi jayen ge. Unhon ney kaha ke kitabon aur deegar zaraye ke zareya Aurangzeb ki shabeeh ko bigaadney ki koshish ki jarahi hai iss ke rafa ki iss se behtar soorat nahi hosakti ke un ki 400 ween saalgirah par aik Seminar rakhtay huwe haqayiqe ko manzar aam par laya jaye. Unhon ney bataya ke Aurangzeb ko aik zalim aur Hindu dushman Badashah zahir karne ke liye tareekhi waqhiyat ko tod marod kar paish kiya jaaney laga hai. Misaal ke taur par fouji khidmaat se isteshna ke liye jo jiziya rakha gaya tha uss ko mazhabi tax ke taur par paish kiya jaany laga hai. Aurangzeb ke baray mein yeh mashhoor kardiya gaya hai ke unhon ney kayi Mandir todrey hain jabkay haqeeqat yeh hai ke unhon ney zayed az 622 Manadir ko Jagiraat aur raqmi inamaat ataa kiye thay. Unhon ney bataya ke bahau kam log jantay hon ge ke Mughal sikkun ke aik rukh par kalma tayyiba kanda huwa karta tha magar Aurangzeb ney sikkun par se kalma ko hata diya tha. Hamari yeh koshish hogi ke Aurangzeb ke talluq se payi jaany wali ghalat fehmiyon ka azaala karen aur un ko aik achay Badashah ke taur par paish keren jo aik haqeeqat hai.